31 March 2016

Clothes Stained Spots (Kapron k Daagh)


Clothes Stained Spots


Stain spots on clothes fall protection and rescue of the spots tips. It is better to remove stains stain fabric dry cleaner to take the daily impact on clothing stains can be cleaned at home. With spots stains on clothing when it is best to immediately cleared. Some important things for her to keep her home.

These things, salt, white vinegar, mentholated spirits, ammonia, bleach, and dye borax solutions include killing. Gaming is something to absorb such growth, small brush and a soft sponge. Clean stains more deeply consider the following principles.

1 - Clean laundry stain before sending dress or maybe stains may become permanent.

2 - Notably avoiding stains do not wash with hot water.

3. Please use the easy synthesis. Sponge the stain with cold water on such extended benefit. If this is not successful, please use the chemical stuff. 

4. Chemical substances or not, part of the fabric felt a little Q and see its effects. Apply to stain after the overdose. 

5. Ammonia and bleach on colored clothes do not. Or spirits do not. Instead, wash with cold water, let it set borax.

6. Other chemicals such as ammonia be applied if it is fully absorbed in the sponge, wash cloth or cloth instead of water will be weakened. 

7 - Use a dry-killing solution, then make a circle around the stain and then covered by the scope of the cleaning. Thus the stain does not spread further. 

8 - If you are clean grease stains from clothing stains under Jah keep an absorbent pad. Then it will get wet during the cleaning pad change.


Clothes Stained Spots In Urdu
 ( Kapron Ke Dhaag)

( Daag dhabon say bachao or libas par parny waly dhabon say nijat ki mafaed batein) Behtar to yahi hai k daag dhaby saaf karny k liah kapry dry cleaner kay yahan lay jaen lakin rozana kapron par parny waly daag ghar per bhi saaf kiye ja skty hai.Kapron per daag dhaby parny kay sath hi foran saaf kar laina behtar hota hai. Is kay liah kch zaruri chezain apny ghar per hi rakhaen.

In chezon mein namak, safaed sirka, spirit, ammonia, bleach, borax or dry cleaning kay mahlool shamil hai. Kch or matafarqat bhi hain maslan jazb karny waly nashu isfunj or ak naram chota sa brush. Zada gehray daag saaf karty waqt mundarja zeal asulon ka khayal rkhaen. Landry mein kapry bhejnay say phly daag saaf kar laen warna ho skta hai daag mustakil ban jae. Grease kay daag ko khas tor say garam pani say na dhoaen.

Phly asan tarkeab istemal karaen. Maslan isfunj ko thandy pani mein dal kar pani say bhigo kar daag par maleyah. Agar is mein kamiyabi na ho tub kimiyae chezain istemal karaen.

Kimiyae chezon ko kapry kay ksi nazar na any waly hisay mein thora sa laga kar is asrat dkh laen. Is kay bad hi daag par zada miqdar mein lagaen.

Rungean kapron per ammonia bleach na lagaen. Yah spirit na lagaen is k bajae borax laga kar is ko thandy pani say dho laen.

Dusry kimiya maslan ammonia agar laga yah ho to issay isfunj mein pure trha juzb kar kay pani kapra dhoaen warna kapra is jaga say kamzor ho jae ga.

Agar dry cleaning ka mahlool istemal karaen to phly daag kay charon taraf ak daerah bana laen or phr daeray mein bahr ki taraf say daerah k darmeyan ki taraf say safae karaen. Is tarha say daag mazead phailta nhi hai.

Agar ap grease ka daag saaf kar rhy hon to daag ki jaga kapry kay nechay ak jazib pad rakh laen. Jub yah pad safae k doran bheag tub issay badal daen.

Prickly Heat Rashes (Garmi Daney)


Prickly heat Rashes (Garmi danay)


In summer warm air effect not only human but also on plants and animals. It effect on our body too and we feel lazy to do any work. Inner temperature of body increase and we feel thirsty. Prickly heat is the most important problem of summer. It quickly effect on children because of their weak immune system. There are some precautions that you can take and save yourself from prickly heat. Avoid warm food, take bath two times a day, wear soft clothes, after eating mango take some smoothie, avoid to eat fish, eggs, pickles and coffee. Increase the use of water melon, pomegranate, lemon, melon and plum.   In this page, you will read  Prickly heat in Urdu ( Garmi danay) In Roman Hindi.

Garmi Danay In Urdu:


Mosam e garma mein jab tamazat e aftab ke bais jhulsa dene wali garmi parti hai to insane hi nahi hewan aur charin parin bhi aziyat mehsos karte hain. Garmi ka asar jismani qowaton par bhi parta hai, jis ke natije mein rozmarah ke kaamon mein susti ajati hai. Jism ki hararat barh jati hai aur piyas mein shidat paida hoti hai. Baz afrad ki zaban khushk ho kar talo se lag jati hai. Esa bhi hota hai ke honton ki surkhi ghayab ho kar siyahi aur beronaqi janam le leti hai. Pasina kasrat se behta hai jis ki wajah se jism pasine se sharabor ho jata hai.

Jab habs ki halat hoti hai to in taqalif mein izafah ho jata hai. Is doran jild ki sab se beroni jhili ke niche aabi ratobaton ke chote chote qatre motiyon ki tarah akhata ho kar garmi danay bana dete hain. Agar in ko dabaya jaye to dard, taqlif aur jalan hoti hai. Ye garmi danay kisi nuqsan ka bais nahi hote, tahum agar habs ya shaded garmi ho to in danon mein bohat jalan ya chubhan hoti hai, jis ki wajah se bohat aziyat hoti hai. Jab in danon ka upper wala hissa alg ho jata hai to tadiye (infection) ke bais phore, phunsiyon mein tabdil ho jate hain. Is tarah ye dane bohat aziyatnak aur taqlifdah ho jate hain. In garmi danon se chote bache ziyadah mutasir hote hain, kyun ke wo garmi ka asar jald qabol kar lete hain aur un ka madafati nizam kamzor hota hai. Jin logon ko ye garmi danay nikalte han wo shaded bechain aur beqarar ho jate hain, kyun ke in danon mein bohat chubhan aur kharish hoti hai.

In danon se hone wali taqlif ke bais aksar bache raat bhar rote hain. Agar hawa chalti rahe ya bijli ka pankha, air cooler ya air-condition mayasar ho to phir sakon rehta hai.
Baz afrad aur khandan garmi danon ki taqlif mein ziyadah aur baz kam mubtala hote hain. Is kami o beshi ka taluq un ki ghiza se hai, masln garam ashiya jin mein anda, machili aur mirch masalae waghairah shamil hain, in ka ziyadah khana garmi danon ka bais banta hai.
Is ke elawa tang o tarik makanat meinrehne wale afrad garmi danon ke ziyadah shikar hote hain. Jo afrad ya khandan thande makanat mein rehte hain, agar wo garmi wale elaqon ya muqamat par chale jayen to un ke jism par bhi bohat ziyadah garmi danay nikal aate hain.

Garmi Danon Ki Alamaat:


Jab jild se pasene ka ikhraj ruk jata hai aur ye aabi qatre jild ke niche yakja ho kar danon ki shakal mein namudar hote hain, jo garmi danay kkhelate hai. In mein jalan aur chubhan ka ahsas hota hai. Phele wale dane kam hote hain to naye nikal aate hain. Ye kabhi surkh aur kabhi safeed hote hain. Garmi danay aam tor par kamar, garden aur baghalon ke darmiyan nikalte hain.

Garmi Danay Se Bacho ki Tadabir:


•    Garam ashiya se parhez kiya jaye.

•    Garmi ki shidat se bacha jaye. Is tarah garmi kam hone se pasena kam aaye ga.

•    Rozana subha sham ghusal kiya jaye, take jism meal kuchale se mehfooz rahe aur masamat ke      band hone ka amkan na rahe.

•    Masnoi reshe se bane howae kapre bhi hasasiyat (allergy) ka bais ban jate hain, in se ahtiyat ki jaye aur soti kapre istemal kiye jayen.

•    Ghiza mein loki, turai, kadu, mong ki dal aur timatar khana mufed hain.

•    Aamkhane ke bad khachi lasi zaror pi jaye, take aam khane se paida hone wali garmi ke asraat ko khatam kiya ja sake.

•    Dhop mein chalne phirne se gurez karen aur pasena ziyadah aane ki sorat mein toliye ya soti kapre se jism ko saf karen.

•    Kamzor afrad ko apni sehat ki tarah ziyadah tawajah deni chaheye.

•     Garmi ke mosam mein anda, machli, achar aur coffee bhi kam pi jaye, kyun ke ye khoon mein hidat paida karte hain.

•    Is mosam mein aalubukhara, lemo, anar, jaman, tarbuz, kharbuza aur neem ki nimboli khana garmi danon aur garmi se mehfooz rakhta hai. Jab shaded garmi ke bais garmi danay nikalte hian to intehai taqlifdah hote hain, lehaza in se mehfooz rehne ke leye mandaja bala tadabir ikhteyar kar li jayen to in se kafi had tak bacha ja sakta hai.

•    Baraf malne se garmi danon ki  jalan aur kharish se waqati tor par sakon milta hai.

•    Sandal safed ghis kar gulab ke arq mein mila kar lagana mufed hai.

•    Luab behi dana 3 gram, unnab 5 dane aur maghaz kadu 3 gram ka shera nikal kar sharbat e nilofar ke do bare chamche mila kar subah sham pena mufed hai.

•     Khaliq e kainat ne garmi se nikalne wale danon ke leye  is se phele hi mosam e bahar mein gandum ke khetton mein shahtera ki boti paida ki, jis mein fasad e khoon aur hidat e khoon ki aslahh ke leye ajeeb khasiyat rahi hai. Tib ke tajurbaat shahid hain ke shahtera 6 gram adhe glass pani mein josh de kar chan kar sharbat e unba ke do chmache mila kar subah sham khane se qabal pina mufed  hai aur bohat se marizon ko shifa hoi hai.

•    Garmi danon ki jalan aur khatme ke leye beroni tor par phitkari aur kafor ka istemal bhi mufed hai. 6 gram phitkari ko pani mein mila kar ghusal kiya jaye. Chand roz tak ye ghusal danon k odor karne ke leye mufed hai.   

Garlic and Cholesterol


Garlic and Cholesterol


It is period of technology. Now every disease has better cure. Science introduced demanding machines and medicines for grand cure. Anyhow the importance of medically herbs are also using in this time. These medicines are very causative for the cure. Garlic included in herbs and vegetation things. Garlic is very useful and very healthy for our health. We can use garlic in different types of cuisines. It reduces the cholesterol ( LDL ) in blood. Garlic secures from the mosquitoes. We should take the one piece of garlic in dinner daily. It secures from flu and influenza. Garlic helps to remove bacteria’s of intestines. In this page you can see the information about Garlic and Cholesterol In Urdu.


Garlic and Cholesterol:


Lehsan Se Cholesterol Control Tips In Urdu


Yeh technology ka daur hai. Is mein har bemari ka ilaaj jaded tareen machines ya aesi medicines se hota hai, jin ke aksar zeli asraat bhi hote hain. Tahum herbs aur tibb e hind aur yunan ke nibatati medicines ki aehmiyat ka bhi ehsaas barh raha hai. Jo dosri medicines ki tarah maussir hain aur in ke zeli asraat nahi hote.

Herbs ya nibatati ashiya mein garlic bhi shamil hai. Jo intehai mufeed hai aur sehat par is ka acha asar parhta hai. Yeh dafey amraaz hai. Maloom hua hai ke is se khoon mein cholesterol ki satah kam hoti hai aur fishar e khoon mein kami aati hai. Is se motapa bhi kam hota hai. Garlic se mosquito door bhagte hain. Ke yeh aik maussir qudrati zidd e hewi hai.

Garlic khano mein mukhtaluif tariqon se istemal hota hai. Aksar log ise Khambi ( Mushroom ) aur murgh ke sath bohat pasand karte hain aur is ki roti bhi tayyar hoti hai.

Haliya tehqiqi jaizon se maloom hua hai ke agar daily garlic ka aik jawa kha liya jae to is se khoon mein bure cholesterol yani LDL ki satah kam ho jati hai. Jis ki wajah garlic ki maney takseed khusosiyat hai. Is ki yeh khusosiyat LDL ki takseed mein maney hoti hai. Is tarah wo cholesterol kam hone ka imkaan paida ho jata hai. Jo sharyano ko tang ya band kar deta hai. Haal he mein aik American research se yeh baat maloom hui hai ke garlic khane se hamare jism mein hydrogen sulphide ki qudrati farahmui bazahir barh jati hai. Ghaliban yehi wajah hai ke aesi ghiza se jis mein garlic ziyada hota hai. In se baaz qisam ke cancers se mehfooz rehne mein madad milti hai. In mein chest, uterus aur qaulon ka cancer shamil hain. Apni zidde hawi khusosiyat ki wajah se garlic intestines mein paae jane wale bacteria ka torh kar sakta hai aur zukaam aur influenza se mehfooz rakhta hai. Is ke ilawa damey ki soorat mein yeh seene ko taqat bakhshta hai.

Zamana qadeem mein yeh riwaj tha ke yunan mein Olympic muqablon ke mauqe par players ko garlic khilaya jata tha. Is ke ilawa yeh riwaj bhi tha ke aaseb se mehfooz rehne aur luteron aur choron ko door rakhne ke liye ghar mein garlic rakha jata tha. Aksar log dushman se hifazat ke liye shagun ke taur par ise ghar ke door mein latka diya karte the. Bachon ke pillow ke niche bhi garlic rakh diya jata tha, ta ke wo son eke dauran mehfooz rahen aur jab dulhan rukhsat hoti thi to us ke libas mein garlic ka aik jawa naik shagun aur nahusat se mehfooz rehne ke liye rakh dete the.

Garlic mosquitoes se bachata hai, kyun ke is se allicin nami aik taqatwar murakkab kharij hota hai, jo mosquitoes ko sakht na pasand hai. Garlic agar ziyada miqdar mein kha liya jae to yeh shaded qey aur bad hazmi nez skin allergy ka baiys ho sakta hai. Garlic se mutalliqa aik shaded negative pehlo wo semi madda botulism hai. Jo maide ko buri tarah mutassir karta hai aur baaz auqat maut ka sabab bhi ban sakta hai.

Is soorat e haal se bachne ke liye yeh aehtiyat kijiye ke roghan mein dale hue garlic ko room ke temperature mein ziyada dair na rakhen aur oil mein parhe hue garlic ko refrigerator mein bhi ziyada arsey na rakha jae.

Hemicrania (Dard e Shaqiqa)


Hemicrania

(Dard e Shaqiqa)


Hemicrania is a very dangerous and misery pain. Rarely has it continuous 72 hours. Hemicrania gets the no.20 in the list of severe diseases in all over the whole World. Hemicrania contact with the hormone of Serotonin. The different people faced the problem of Hemicrania in different format. Do not use caffeine and alcohol. It is very harmful in hemi crania. We should use water daily more and more. In this page you can see the information about Hemicrania in Urdu (Dard e Shaqiqa) In Roman Urdu.

Dard e Shaqiqa


Koi shakhs agar yeh kahe ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) dard e sir he ki aik qisam hai to samajh lijiye ke use khud kabhi yeh takleef nahi hui. Hemicrania (Dard e Shaqiqa) to nihayat takleef aur shaded dard hai. Jo kabhi kabhi 72 ghante tak rehta hai. Aalmi idara e sehat ne haal he mein duniya ki shaded tareen bemariyon ki jo list tarteeb di hai us mein Hemicrania (Dard e Shaqiqa) 20 number per hai.
Hemicrania (Dard e Shaqiqa) mein dimagh hila dene wala dard to hota he hai, lekin sath he dosri alamaat bhi hoti he hain. Maslan faraib khayal, zehni uljhan, matli, qey, ishaal, nez roshni, bou aur shor se ziyada hasasiyat. Aik mahir ne bataya ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ki asal wajah ab tak maloom nahi ho saki. Tahum khayal yeh hai ke is ka talluq Serotonin naami hormone se hai. Jo Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke patients mein sir ki ragon ko matoram kar deta hai.

Hemicrania (Dard e Shaqiqa) mukhtalif logon mein mukhtalif shakal mein hota hai aur is ke shuru hone ka sabab dabao, thakan, tez roshni, mausam ki tabdeeli aur mamool ke mutabiq khana khana ho sakta hai ya phir Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke zimmedar hormone ki tabdeeli ho sakti hai, kyun ke dekhne mein aaya hai ke is takleef mein mubtila hone walon mein aurton ki tadaad mardon se dugni hoti hai.

Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke ziyada tar patient market mein aam bikne wali dard ki tablets maslan, disprin ua paracetamol waghera kha lete hain. Agar yeh dawa alamaat ke zahir hote he kha li jae to aksar araam aa jata hai. Baaz nae qisam ki medicines jo muaalij tajveez karte hain. Live serotonin par asar andaaz hoti hain aur in se bhi afaqaa ho sakta hai. Lekin medicines ke ilawa dosre tariqe bhi hain, jinhe ikhteyar kar ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) se araam ki soorat paida ho sakti hai.

1.    Food ( Ghiza ) : Ghiza ke silsile mein yeh dono batein aeham hain ke aap kya khate hain aur kitni bar kahte hain. Aik expert ne kaha ke hamari tawanai ki satah mein jo nasheb o faraz hain, wo aksar Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ka sabab ban jate hain. Is ka ilaj aap yun kar sakte hain ke thora thora khae. Lekin kae bar khae. Nez khane mein aise nishaste wali chezen shamil karen, jin se tawanai ka ikhraaj aahista aahista ho. Jo chezen ap khae unhe note karte jae. Ta ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ki soorat mein andaza laga saken ke kis chez ne nuqsan pohchaya hai. Caffeine aur alcohol ka istemal kam rakhen aur daily kam az kam 2 liter pani piyen.

2.    Important Herbs ( Aeham Bootiyan ) : London mein Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke ilaj ke aik markaz mein jo tajurbey kiye gae, un se andaza hua ke jin patients ne 90 days tak daily feverfew naami paude ki 2 ya 3 leaves khae, un mein se 70 % ka Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ya to bilkul khatam ho gaya ya phir is mein afaqaa hua. Feverfew aik khushbodar jhari hai. Jis ke patte rooedar hain. Aur phool safaid. Yeh pehle fever utarne ke liye di jati thi. Is paude mein aik aisa natural chemical madda hota hai. Jo serotonin ke ikhraaj ko rokta hai. Is ka maza acha nahi hota, lekin yeh goliyon ki shakal mein bhi dastiyab hai.

Butterbur labe patton wala jins petasites ka pauda hai, jis ke patton mein makhan lapeta jata tha. Aik tehqeeq se maloom hua ke jin patients ne 12 hafte tak din mein 2 baar is paude ki root ka sut piya hai, un ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ki shiddat aur takraarmein 60 % tak kami aa gai hai.

3.    Colorful Glasses ( Aeinak ke rangeen sheeshe ) : Baaz log kisi khas rang ya rangon ki wajah se Hemicrania (Dard e Shaqiqa) mein mubtila ho jate hain. England mein aik haliya research se pata chala hai ke glasses mein rangeen sheeshe istemal karne se dard e Hemicrania (Dard e Shaqiqa) mein izafa ho sakta hai. Lehaza jin logon ko rangya roshni ke baiys Hemicrania (Dard e Shaqiqa) hota hai. Unhe chahiye ke kisi mahir ke mashware se mawafiq rangeen aeinak istemal karen.

4.    Vitamin B –2 : Yeh vitamin bohat si ghizai ashiya mein paya jata hai. Aik haliya research se maloom hua hai ke daily 400 mili gram vitamin B-2 khane se Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ki shiddat aur takraar mein kami aa jati hai. Jin marizon ne is vitamin ki yeh khuraak 3 month jari rakhi. Un ke marz mein 37 % kami aa gai aur shiddat bhi kam ho gai hai. Agar daily is vitamin ki matloba miqdar ghiza se hasil na ho to iski tablets bhi dastiyab hain.

5.    Acupuncture ( Soozan Zai ) : Tajurbon se andaza hota hai ke yeh Chinese tariqa e ilaj 80 % tak marizon ko faida pohnacha sakta hai. Jism mein tawanai ke zaraey mein soozan zani kar ke aik muaalij tawazun bahaal aura mal andmaal ko tehreek de sakta hai.

6.    Bovine Technique : Yeh nihayat halki malish ka aik tariqa hai. Jis mein angothe aur ungliyon ke zariye jism mein khas khas jagahon par slowly slowly malish ki jati hai. Abyeh tariqa maqbool ho raha hai aur aik research ke mutabiq jin logon ne yeh tariqa e ilaj ikhteyar kiya, un mein se 80 % mein behtari ke aasaar nazar aae.

7.    Ice Strips ( Baraf ki Pattiyan ) : Yeh thandi pattiyan Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke dauran matoram ya pheli hui ragon ko apni asal halat mein lane mein madadgar hoti hain. In ka fori asar hotahai aur is ke sath sath medicines bhi jari rakhi ja sakti hain. Baraf ki pattiyon ko mathe, kanpatiyon aur garden kepichle hisse par rkhna chahiye. Ta ke dard ruk jae yak am ho jae.

Appendix ka Dard


Appendicitis (Appendix)


Appendicitis is often and sudden attack of pain. It creates from indigestible foods, constipation problem and uses of meat. Appendicitis is the inflammation of appendix, it has right side of abdomen in lower. Patient has fever for the intensity of appendicitis pain. The pain of appendix gain from the exercise, so appendicitis patient should not take exercise. In this topic we talked about some medicated prescription, but please kindly request to you that first take advice to your doctor after that use nay medicine. In this page you can see the information and Appendix treatment In Urdu (Appendix Ka Dard) In Roman Hindi.

Appendix In Urdu:

 Appendix  marz ziyada tar jawani ya udher umar mein hua karta hai. Appendix aksar qabz, saqeel aur baadi ashiya ka kasrat se istemal karna aur gosht waghera ka ziyada istemal se paida hota hai. Awwal pait mein zeeren janib naaf ke ird gird shiddat ka dard hota hai aur apni jagah badalta rehta hai. Lekin aakhirkar naaf ke right taraf dard qaiym ho jata hai. Patient right leg ko aksar khinchta rehta hai. Takleef ki shiddat mein bukhar bhi ho jata hai. Matli aur qey bhi aa jati hai. Maqam maouf par uphara sa mehsoos hota hai aur dabane se dard mein izafa ho jata hai. Khana na khane se is dard mein koi farq nahi parhta. Appendix ka dard exercise karne se aksar barh jata hai.

Appendix Ka Ilaj

Medicines


1. Belladonna : Waram zaiyd mein maqam maouf par shadeed dard hota hai aur mareez ko zara sa chu jana, yahan tak ke bistar ke kaprhon ko bhi bardasht nahi kar sakta. Appendix ke dard yukdam paida ho jata hai aur thori ya ziyada dair rehne ke bad yakayak ghayab ho jata hai.

2. Ignatia : Zaiyd waram ko pakane mein kaam aati hai aur is ko khatam karne ke liye behtareen hai. Daurne wale dard. Appendix ke Tamam ikhraaj badbodar hote hain. Mareez laghar aur be had kamzori. Jab fasaad e khoon ki wajah se tamam jism mein zehar phel jae aur jism thakawat se chor chor ho to is medicine ko istemal karen.

3. Lycopodium : Kali Aant ke mazmin waram aur dard ke liye be misaal dawa hai. Khana khane ke bad pait riyah se bhar jata hai. Dard ke sath peshab ki bar bar hajat jis mein surkh rait aae.

4. Nux Vomica : Kasrat sharab khori. Kasrat aghlambazi, saqeel aghzia ka bakasrat istemal jis se mareez ka hazma sahi na rahe aur bakasrat riyah paida ho, jis se yeh shikayat paida ho jae. Mareez chirchira aur muraghan ashiya ka shedaai ho.

5. Arnica : Chot lagne ka sa dard aur jism par siyah daagh operation ke bad ke dard ke liye behtareen dawa hai.

6. Bryonia : Appendix  ka Dard jo harkat se barhe naiz dard wali letne se sukoon milta hai. Qabz aur shadeed piyas jis mein mareez khon pani piye.

7. Arsenic Album : Takaleef ke sabab sakht qisam ka dard, waram aur jalan paai jae, jis ko garmi se araam aae aur sardi se tamam takaleef barhe. Bechaini shadeed kamzori aur shadeed piyas lekin mareez thora thora pani piye.

8. Kali Muriaticum : Zaiyd waram jis mein amoman mareez kin a umeedi ho, ibtedai darja mein waram ke liye Aconite, ferrum phosphorikum aur belladonna istemal karen aur intehai darja mein kali muriaticum aur lycopodium ko hargiz na bholen. Beharhaal aap biochemic medicines yani ferrum phosphorikum ibtedai darja mein aur kali muriaticum intehai darja mein istemal kar ke marz par qaboo paa sakte hain.

9. Lachesis : Zaiyd waram jis ko chit letne aur aazaa ko khinchne se zara sukoon mile, kamar aur perho ke maqam mein aag si jalan, shikam ke right side pharne wale dard, mareez tang kapra bardasht nahi karta.

Note : In this topic we gave you some medicated prescription for appendicitis, but please first take advice to your Doctor after that use any medicine.

Gallbladder Stone (Pitta ki Pathri)


Gallbladder Stone (Pitta ki pathri)


If we have stone in gall bladder, so it is very painful disease. The symptoms of gall bladder are vomiting, pain in shoulder and back. Sometime Patient get faint bring about the intensity of pain. Almost the stone of gall bladder created from the intensity of bilious bring about the liver problem. In this topic we talked about some medicine for stone of gall bladder, but please kindly request to you that first to take advice to your Doctor, after that use any medicine according to your disease. In this page you can see the information  and treatment about Gall Bladder Stone In Urdu (Pitta ki pathri) In Roman Hindi.


Gallblader Stone In Urdu: 

Agar Pitta mein pathri (gall bladder Stone) ho to pitte mein dard hota hai. Matli aur qey hoti ho, dard ki lehar kandhe aur peeth tak jati hai. Kabhi mareez dard ki shiddat ke baiys behosh ho jata ho. Yeh aksar jigar ki kharabi ke baiys safra ki ziyadti se paida hoti hai.


Pitte Ki Pathri Ka Ilaj In Urdu:
 

Medicines

1. Belladonna : pitte mein dard tez goli lagne ki tarah hote hain. Jo yukdam shuru hone ke bad mukhtalif simton mein phel jate hain aur kam o besh waqt reh kar yakayak ghayab ho jate hain.

 
2. Nux Vomica : pitte  mein Shadid dard jis ki wajah se patient bohat bechain ho, subha ke waqt khana khane ke bad riyahi uphara aur bad hazmi ghiza se nafrat qabz aur chirchirapan paya jata hai. Pitta ki pathri (Gall Bladder Stone) ki wajah se jaundice ka ho jana. Attack ki halat mein chloroformum se behtar kaam karti hai.


 
3. Netrum Sulphuricum : Dimaghi mehnat aur gussa se liver mein kharabi paida ho, jis se safra liver ki pathriyon mein tabdeel ho jata hai. Yeh medicine is kefiyat ko door kar ke safra ko durust karti aur stones ki paidaish ko khatam karti hai. Riyah ki ziyadti aur khalipan ka ehsaas jis mein riyah ke ikhraaj se kami ho.

 
4. Lycopodium : Pitta ki pathri (Gall bladder stones) mein shadid dard. Spleen yani tilli ke qareeb large intestine mein ghargharahat shikam right side qolanji dard jo uterus mein jae. Peshab ki bar bar hajat jis mein surkh rait kharij ho. Riyah bohat ziyada jo ke pait ke nichle hissa mein dard paida karen.

 
5. Thlaspi Bursa Pastoris : Pitta ki pathri  (Gall bladder stone) ke dard jo liver aur reham ki kharabiyon ki wajah se ho. Bar bar urine ki hajat jis mein eeint ki si surkh rait kharij ho.

 
6. Cinchana officinalis : Pitta ki pathri  (Gall bladder stones) aur dard ke liye behtareen dawa hai. Is ke mutawatir istemal se stone aur dard se bohat jald nijaat mil jati hai. Kamzori aur behoshi face zard aur aankhen andar ko dhansi huihoti hain. Tamam pait riyah se bhara rehta hai.

 
7. Chloroformum : Pitta ki pathri  (Gall bladder stone) aur dard ko door karne ke liye mufeed hai. Naiz behoshi paida karne ke liye bohat miqdar mein istemal kiya jata hai.

 
8. Cholesterinum : Jaundice mein Pitta ki pathri (gall bladder stones) ke liye mufeed hai. 

Note : In this topic we talked about some medicine for stone of gall bladder, but please kindly request to you that first to take advice to your Doctor, after that use any medicine according to your disease.

Vomiting (Qay)


Vomiting (Qay)

Prevention of Sunstroke (Loo Lagney se Bachao)


Prevention of Sunstroke (Loo Lagney se Bachao)

Sunstroke means that, when sun shine falls on the person for a long period of time, so person affected from the sunstroke. It is called as also heat stroke. Sunstroke is the over exposure of the sun shines. The intention of heat and the rays of sunshine are mainly caused of sunstroke. Sunstroke symptoms are headache, thirstiness, feeling uncomfortable, urine problem, face and eyes gets reddish, heart beat fast, fever, weakness, feeling sweaty etc. In this topic we talked about some medicated prescription for sunstroke, but please first take advice to your doctor after that use any medicine. In this page you can see the information about sunstroke (Loo Lagna , Loo Lagne Ka Ilaj, Loo Lagna Treatments In Urdu and Roman Hindi.

Loo Lagna:
Garam areas mein jahan garmi ziyada parhti hai. Aksar mausam e garma yani June July ke months mein aksar log loo lagjane se mutassir hote hain. Garmi ki shiddat aur aaftaab ki tezi se bahar dhoop mein kaam karne, garmi mein safar karne ya garam kamre mein kaam karne se aik ajeeb naqahat si taari ho jati hai. Jis mein mareez apne hosh o hawas kho bethta hai aur gumm ho jata hai. Amoman loo lagne se patient ke sir mein dard hota hai. Piyas shadeed aur sakht be aaraami. Peshab bar bar aata hai. Face aur aankhen surkh aur dil ki dharkan barh jati hai aur bukhar bhi ho jata hai.
Patient nihayat zaeef ho kar behosh ho kar gir parhta hai. Tamam jism pasina pasina ho jata hai aur nabz bareek ho jati hai. Kabhi ubkaiyan aati hain. Baaz auqat sirsami kefiyat ho jati hai. Aise waqt mein mareez ko kisi thandi sayadar jagah lita dena chahiye aur jism ko zara daba dena chahiye aur taza thanda pani ya doodh mareez ko pilane se jald he mareez hosh mein aa jata hai.


 Loo Lagne Ka Ilaj:
 
Medicines
 
1. Aconite : Dhoop mein sone ki wajah se sunstroke (Loo Lagne) ka ho jana, bechaini, ghabrahat aur maut ka khauf. Ibtedai marz mein is ka istemal karen. Is ka patient mota taza hota hai aur be aaraami paai jati hai.

2. Belladonna : Yeh bhi pur khoon afraad ki dawa hai. Is ki alamaat yukdam aur shadeed paida hoti hai. Sir ki taraf ijtema khoon, face surkh aankhen surkh aur pao thande. Is ka mareez chup chap lete rehna chahta hai.

 
3. Natrum Carbonicum : Sunstroke (Loo Lagna)  ke mazmin asraat ko door karne ke liye behtareen dawa hai. Mausam e garma ki garmi se kamzori ka barhna is ki makhsoos alamat hai. Dhoop ya gas ki garmi waghera se sir dard. Dhoop aur garmi se ya dimaghi mehnat ya raag se takaleef barhti hain.

 
4. Lachesis : Sunstroke (Loo Lagna) ke bad asraat jab ke purane ho gae hon, mareez dhoop bardaasht nahi kar sakta. Ghunodgi mein hath pao thande jism aur hathon mein larza. Zaban ka larza is ka makhsoos nishan hai. Zaban jald jald bahar nikalti hai. Jaise saanp ki zaban hila karti hai.

5. Natrum Muriaticum : Sir dard jo sooraj ki garmi se barhe aur ghuroon hone par khatam ho jae. Sir mein tapkin face mein surkhi.
Matli aur qey. Loo Lagna Sir mein shadeed dard jhatke jaise hatora mara jar aha ho. Biochemical mein sunstroke ki best medicine hai. Dhoop, stroke ki garmi, band garam makaan aur mausam e garma mein takaleef barhti hain. Dimaghi aur jismani kamzori be had hoti hai.

6. Moschus : Jab mareez hosh o hawas kho betha ho. Dil ki dharkan barh jae. Quwwat e hayaat doobti maloom ho. Aesi halat mein moschus 30 ya mother tincture ki chand khuraak dene se mareez forum hosh mein aa jata hai.

 
7. Crataegus : Jab kisi marz mein dil fail hone ka khadsha ho to is dawa ko bataur mujarrib istemal kar ke mareez ki jaan bachae. Har 10, 15 minute bad mother tincture ke 10 se 15 drops fee khuraak den ya bataur injection istemal karen.

 
Note : In this topic we talked about some medicated prescription for sunstroke, but please first take advice to your doctor after that use any medicine.

30 March 2016

WWE Network Watch Online

 Click to play this video.

Watch WWE NETWORK live stream online - No Download No Registration all Streams are daily updated and working. Enjoy WWE NETWORK live Television Stream - IPTV. Select a Stream and start watching WWE NETWORK live make sure you are using Google Chrome for best streaming experience.

29 March 2016

Til (Sesame seeds)

Til (Sesame seeds)

We are using sesame seeds (til) form millenniums. In winter season, we use sesame seeds mix with sugar or gur. Sesame seeds are used as medicine too. The plant of sesame seed is called sesamum indicum. It is in two colures white and black. White sesame seed are most common and use widely. Sesame seeds have lots of vitamins. In this page, you will read Til Benefits, Til Ka Tail (Oil), Til Ke Fayde, Sesame Seeds Benefits In Urdu and Roman Hindi.








Til Benefits, Til Ka Oil Benefits (Til Ke Fayde)
Sesame Seeds Benefits In Urdu

Til humare han sadyon se istemal ho rate hain. Mosame sarma mein til (sesame seeds) aur gur ke lado, rewariyan, gajak ka bakasrat istemal hota hai. Rewariyan aur gajak gur aur chini se banti hain jin mein Til (sesame seed) shamil hote hain. Til (sesame seeds) ghiza ke elawa bator dawa bhi istemal hote hain.
Is ka mizaj garam o tar hota hai. Arab mein zetoon (olive) ko bohat ahmiyat hasil hai, baresagheir mein zetoon (olive) ka badal Til (sesame seed) qudrat ne paida kiya hai. Til (sesame seed) ka tail (Oil) bhi zetoon ke tail (Oil) ki tarah badan ke dard mein fori ilaj ke leye istemal hota hai.
Til (sesame seed) ke pode ko angrezi (English) mein (sesamum indicum) aur zaban e tib(farsi) mein kanjd khete hain. Til (sesame seed) safed aur siyah rang ki sorat meinhote hain, rang ke imteyaz ke bais til safed aur til siyah likha jata hai. Kale talon ke muqable safed Til (sesame seed) behtar aur ziyadah istemal hote hain. Duniya ke beshtar mumalik mein is ka poda paya jata hai. Desi adwiya mein Til (sesame seed) aur til ka tail (Oil) sadyon se istemal hota araha hai. Is ke elawa tilon ka tail (Seasame Oil) ghizaon mein bhi istemal hota hai is tail (Oil) ki aham khososiyat ye hai ke ye arsa daraz tak kharab nahi hota. Talon mein taqreban 50 se 60% fisad tail (Oil) paya jata hai jo ghair seer shudah tail (Oil) par mabni hota hai yani ye jamta nahi hai. Is mein vitamin E, vitamin B, vitamin B2 ka elawa carotene mujod hote hain. Jaded tehqiq ke mutabi talon mein mandarjazel ajza shamil hain.

100 giram Til (sesame seed) mein shamil ajza:
Vitamin A : 15 unit
Thiamin : 1.7 ml
Riboflavin : 1 ml
Nayaseen : 2.7 ml
Protein : 9 ml
Harare : 280
Chiknai (fat): 24 ml
Nashata : 10 ml
Calcium : 580 ml
Folad : 5.2 ml
Phosphorus: 308 ml
Potassium : 360 ml
Til (sesame seed) mein aik phosphorus aamez chiknai bhi pai jati hai jo jismani bafton aur asabi taqwiyat ke leye aham hai. Insane damagh aur ghododon ki sehat ka inhesar is phosphorus aamez chiknai par hai. Insane ke dimagh mein ye mada tamam janwaron se ziyadah hota hai. Til (sesame seed) mein mujod is phosphorus aamen chiknai ko leis thaisen khete hain. Til (sesame seed) ki aik aur aham khubi ye hai ke is mein dhaton ka tanasub bhi kamal hai jis dhat ki jism ko ziyadah zarorat hai wo ziyadah miqdar mein mujod hai aur jis ki kam miqdar ki zarorat hai wo kamahi. Til (sesame seed) vitamin E ka khazana hai. Yehivitamin jism insane mein nasal kushi mein madad deti hai aur jald borah nahi hone detiaue is mein mujodgi se jild mein jhuriyan nahi partein. Tilon (sesame seed) mein esekimayai mirakabatbhi mujod hain jo insane jism ki shikast o rekht ko rokte hain aur jism ke sakhta khaliyon aur bafton ki tamir mein ajeeb karishma dekhate hain is tarah jism ke asab ko taqwiyat dete hain jis se jismani umangein aur tawanai badar hoti hai.
Qutrat ki choti se ye khubru nemat aaj ke khasta asab aue shikast o rekht ke amal ke shikar insane ke leye khusosi tohfa hai. Khusosan wo log jo zehni dabao aur isabi tanao ke bais depration ka shikar hain, unhen qudrat ki ata kardah nemat se mosame sarma mein bharpur istefada karna chaheye. Tib e mashriki mein Til (sesame seed) aur is ka tail (Oil) sadyon se mustamil hai. Mosam e sarma mein amoman bachon ko bakastat peshab ki shikayat ho jati hai, baz bache raat ko bistar par peshab kar dete hain in ko adhi chamchi rozana talon ka isteaml is marz se nijat delata hai. Is tarah umar rasedah log bhi shadat e sardi ke bais mosam e sarma mein bar bar peshab ke arze mein mubtala ho jate hain, ese logon ke leye talon ke lado bohat mufedsabit hote hain, kyun ke umar rasidah logon ko esa asabi kamzori ke bais ho jata hai aur til (sesame seed) asab ko taqat bakhshte hain.
1- Til (sesame seed) ko pani mein pes kar chan kar istemal karain mede ki jalan mein bohat mufed hai is se mede ki turshi khatam hoti hai.
2- Halke bhone howe tilon (sesame seed) ko sabz dhaniye(green coriander), podene (mint), sabz mirch (green chili), lehsan (garlic) aur bhone howe safed zere aur namak (salt) ke sath pes kar lemo (lemon) ka ras milaein, nehayat lazez aur taqwiyat bakhash chatni taiyar ho jati hai jo bajra, makai, gandom ya chane ki roti ke sath maza deti hai.
3- Tilon (sesame seeds) ka istemal phepron aur khansi mein mufed hai.
4- Tilon (sesame seeds) ka istemal rangat ko nikharta hai aur kharish k odor karta hai.
5- Tilon (sesame seeds) ka istemal jism ko mota karta hai.
6- Tehqiq jaded ke mutabiq Tilon (sesame seed) mein mujod vitamins aur proteins
donon ajza zodhazim hain jin ke koi muzir asrat nahi, goya Tilon (sesame seed) ko gosht ka nameul badal qarar deya ja sakta hai.
7- Til (sesame seed) ke pode ke patte aur phol bhi bohat mufed hote hain. Tilon (sesame seed) ke patton kobalon ki mazboti uar darazi ke leye istemal kiya jata hai. Is ka tariqa e kar ye hai.
Tazah patte le kar kot kar ras nikalein aur balon (hair) ki jaron mein mal liya karein. Ye amal balon (hair) ki seyahi ko asrse tak qaim rakhta hai.
8- Til (sesame seeds) insane ko zehni aur jismani donon itebar se sehat mand rakhta hai.
9- Til (sesame seeds) har umar ke fard ke liye yaksan mufed hai.
10- Til (sesame seeds) mein ese kimiyai murakab bhi hote hain jo cancer ki rok tham mein mufed hain.
11- Tilon (sesame seeds) se hasil kardah tail tib e mashriqi ki bohat si adwiya ka juz hai. Humare han jot eel malish ke leye mustamil hain in mein Tilon (sesame seed) ka tail jise metha tail bhi khete hain khososi juz hai.
12-France mein Tilon (sesame seed) se taqviyat ka aik tonic taiyar kiya jata hai.
13-Wo log jo demaghi kaam karte hai aur ghambir masail ke sabab shaded zehni dabao aur asabi tanao ka shikar rehte hain un ke leye Tilon (sesame seed) ka istemal bohat mufed hai.
14-Tilon (sesame seeds) ka istemal har umar ke afrad yaksan kar sakte hain.
15-Maghziyat ka istemal namalom tarikh se ho raha hai. Zindagi ke ibtedai dor mein ye bohat istemal hote the, lekin ab kam hone laga hai, ab jaded tehqiq ke bad in ka mosam e sarma mein istemal bator qowat bakhsh ghiza barh gaya hai.
16- Til (sesame seed) zod hazim hain in mein lehmiyat bohat ziyadah hote hain, itne kisi sabzi mein bhi nahi hote. Nabatati ilaj ke almi mahir doctor kelog ka kehna hai ke tamam nabatati ghizaon mein umdah protein maghziyat ke indar hoti hain. Ye hewanat ke gosht se bhi ziyadah taqat bakhsh hai.
17- Mosam e sarma mein maghziyat jin mein till bhi shamil hain, istemal aik tonic ka
darja rakhta hai, khososan talba aur dimaghi kaam karne wale ese zaror istemal karein, is se hafza behtar hota hai, khoon ki kami jati rehti hai aur asab ko taqviyat milti hai.
18- Wo log jinhein buland fishar e khoon (high blood pressure) ka arza ho, maghziyat ke itemal mein ehtiyat karein wese bhi har shy ke istemal mein etedal hi ki rah munasib hai aur yehi rah fitrat hai. Edam tawazun hi amraz peda karta hai. 

Constipation (Qabz)

Constipation(Qabz)


In the present time, most of the people are affected from constipation (Qabz). There is no age restriction. Constipation is the mother of all diseases. Because of constipation, you may face many other diseases as headache and heart problem. If you do not use vegetables and fruits, eat oily food, changing in your eating time are the causes of constipation. Do a little exercise and drink 8 to 10 glasses of water daily. In this page, you will find qabz constipation, Qabz ka ilaj, Qabz ki Shikayat and Qabz Treatment In Urdu and Roman Hindi.

(Qabz ) Constipation

Qabz in amraz mein samil hai jin ka shikar aaj kal beshtar afrad hain, ese tehzib jaded ka tohfa qarar dena munasib ho ga. Is marz ke shikar afrad mein umar ki koi qead nahi hai. Qabz ko umul amraz kaha jata hai, yani bemariyon ki maa. Is se kai amraz janam lete hain. Qabz ka matlab hai ijabat ka bar waqat na hona. Is ki mutadid iqsam hain, jin mein waqat par ba faraghat ijabat ka na hona, sakht kism ka baraz kharij hona, do teen din tak ijabat ka na hona aur ijabat ke waqat diqat hona wagherah shamil hain. Qabz na hone ki alamat ye hai ke 24 ghante mein aik bar ijabat bagheir diqat ya bagheir adwiya ke waqat par ho jaye.
Jab hum ghiza khate hain to ye mede mein jati hai, jahan se nikal kar choti aant mein dakhil hoti hai ti hazme ka amal nisbatan tez ho jata hai. Choti aant se mazid qabil e hazam banati haiaur ghiza ka maya hissa bari aant mein takmil ko phohanchta hai, yani pani jazb ho kar baqi hissa fazle ki sorat akhteyar kar leta hai, jo hamare shikam ke bayein taraf aahista aahista harqat karta hai aur qolon ke sath sath utarne lagta hai. Ye pora amal aur fazlat ka ikhraj sehat ke leye bohat zarori hai, albata is amal ki rafter mukhtalif ajza mein mukhtalif ho sakti hai.
Agar hazam ka amal sust ho to ijabat khushk aur sakht ho sakti hai is ko qabz khete hain, jo baz uqat khatarnak soraat akhteyar kar leti hai. Qabz ki sorat mein peat mein girani aur tabyat mein bacheni hoti hai. Mazaj mein chirchira pan aur susti ajati hai. Mun se badbo ane lagti hai aur badbo dar riyah kharij hone lagti hai. Abz uqat sar mein dard aur ikhtalaj e qalb (dil dobna) ki shikayat hoti hai.bhook kam lagti hai. Baz logon ko kamar mein dard bhi hota hai. Fazlat ke jama hone se riyah peda hote hain, agar ye kharij nah on to taklif mein mazed izafa ho jata hai. Phir bhook to usi waqat lage gi jab pheli ghiza kharij ho gi aur mazid ghiza ke dakhle ke leye jaghah bane gi.
Qabz (constipation) hone ke kya asbab hain. Baz infaradi hite hain, yani abteda mein ijabat ko dabana, ijabat ki khuwahish par ghaflat karna wagherah shamil hain. Sheron mein rehne wale log jo ke reshe (fiber) ka istemal nahi karte aur fruit ban, kabab aur shermal bakasrat khate hain, phalon aur sabziyon ke bajaye roghani aur tali hoi ghizaon se raghbat rakhte hain, qabz mein mubtala ho jate hain. Nuqs e taghziya ye elawa baz bori aadat bhi qabz ka sabab banti hain. Chunacha jazbat bhi hazme mein aik gona ahmiyat ke hamil hain. Ghizai uqat mein bad nazmi se bhi ijabat ka nizam mutasir hota hai. Baz uqat adwiya ke istemal aur baqasrat tambako nushi aur chai nushi se bhi qabz rehne lagta hai. Is ke elawa aanton ki harkat, ikhraji qowat ki kami, aanton mein ratobat ki kami, saqil ghizaon ka ziyadah istemal, aram talbi,warzish ka foqdan aur pani ke kam istemal se bhi qabz ka marz lahaq ho jata hai.
Qabz ka asal ilaj ye hai ke ibtedai umar se hi bachon mein sehatmand aadat ka shaor peda kia jaye. Is hawale se walden par aham zimedari hai. Qabz kusha adwiya ka asal maqsad waqati aram hota hai, kyun ke mariz ko jo zehni aur jismani awariz lahaq hote hain in mein waqati aram zarori hota hai. Log asan tariqa samajh kar adwiya ke adi ho jate hain. Dosri adwiya ki tarah in ke bhi muzir asrat hote hain. Aanton mein bal parne se ishal ho kar jism mein pani kam hota hai. Is tarah aanton ke reshon aur azlat ko nuqsan hota hai. Qabz ki adwiya hameshah mualij ke mashware se len. Qabz ka ilaj sab ke lye aik jesa nahi ho sakta. Abtida mein aur halke qabz mein hajam barh jane wali adwiya maslan aate ki bhosi o bagheir chana aata khaein, ghiza mein phal, sabziyan (reaha samet), saag pat, shaljiam, ghiya, turai, tenda, kadu, karela khaein aur ispaghol ka chilka do chamche neem gharam dodh mein mila kar raat sone se qabl istemal karein. Agar aanton ki harkat sust ho to “tar phala” aur harisa ke murabe ka istemal mufid hai.
Aanton ki harkat chust rakhne ke leye rozana 26 gram resha ghiza mein istemal karein aur 8 se 10 glass pani peyein. Wazish bhi qabz mein mufid hai. Warzish se asabko taqat milti hai. Ghiza ke ikhraj ka amal tez hota hai aur aanton ko harkat aur tehrik milti hai. Raat ke khane ke taqriban do ghante bad soein. Aanton mein kharish peda karne wale fazle ko naram karne wali adwiya ka istemal hamesha mualij ke mashware se karein. Aanton ki khushki ki sorat mein gulqand, ispaghol, roghan e badam aur roghan e zeton ka istemal mufid hai, tib e mashriqi mein har, saqmoniya aur halila ka sadyon se qabz ke ilaj ke leye istemal ho raha hai. Ab to maghirib mein bhi in se adwiya ban chuki hain.

Polio

Polio

Polio is a disease like paralyze. It is very dangerous and serious disease for lifetime, which can make people paralyze. Polio is a viral disease of nerve cell of the brain stem and spinal cord. It is a highly infection who attack the central nervous system. There are five kinds of Polio, Silent polio, Abortive polio, paralytic polio, and non-paralytic polio and Bulbo spinal polio. Polio is start from the mumps of throat. It has symptoms are Fever, Sore Throat, Headache, vomiting etc. Do not take easily of this disease. Please take polio drops every month for your children’s safety. Polio drops is a best cure for your children. In this page, you can see the Polio information In Urd (Polio Kya Hai) and Polio Disease In Hindi.


Polio kya Hai ?Polio Disease In Hindi

Polio darasal aesaab (nervous system) ko mutasir karne wali bemari hai. Jo poliovirus se phelti hai aur bachon mein aam hai aur is ka zor mausam e garma mein hota hai. Magar sard mausam mein bhi hamla aawar ho sakti hai. Is se dimagh aur haram maghaz mein sozish ho jati hai aur shadid noiyat ka hamla ho to na qabil e talafi nuqsan pohnchati hai.


Polio Ke Alamaat : Sir dard, matli, qey aur pait ke dard jise amoman log sarsari andaaz mein fori dastiyab dard kash adwiyaat ke zariye thek karne ki koshish karte hain.

Iqsaam : (Kinds of Polio) 1st qisam khamosh polio (Silent polios) ki hai. Yeh amoman bachon mein hota hai aur jin khandano mein pehle se yeh marz maujood ho use khamosh polio kaha jata hai aur is ka virus bache ki ghizaai naali mein maujood rehta hai. Lekin is ka nizam aesaab par hamla nahi karta lehaza aam alamaat nazar nahi aati.
2nd qisam Abortive polio hai. Is qisam mein virus ka hamla shadid nahi hota lehaza nizam e aesaab ki alamaat ke ilawa deegar jismani naqaiys peyda hona shuru ho jate hain. Yeh qisam aksariyat mein paai jati hai aur yeh 5 years ki umer ke bachon se le kar 50 years ke older mein bhi maujood hai. Is qisam mein hamla khuwateen mubtila ho sakti hain.
3rd qisam non paralytic polio hai. Is mein aesabi kamzori barh jati hai. Paralyze nahi hota kyun ke nizam e aesaab mustaqil nuqsan nahi jhelta, sirf sozish hoti hai. Jo bad mein thek bhi ho jati hai.
4th qisam paralytic polio mein hamla shaded hota hai aur paralyze bhi ho sakta hai.
5th qisam bulbo spinal polio maflooj kar dene wali hai. Is mein nizam e tanaffus ke azlaat maflooj ho jate hain. Lehaza patient ka saans lena mushkil ho jata hai aur nikalne ki salahiyat khatam ho jati hai.

Polio halaq ki sozish se shuru hota hai aur sath he be khuwabi, sir dard, fever, matli, qey waghera ki shikayaten hoti hain. Jismani azlaat mein khinchao aa jata hai. Khusosan neck aur peyt ke azlaat akarh jate hain. Natijatan jism ka nichla hissa maflooj ( kuch bachon mein aap ne aik leg aur kuch mein dono legs maflooj dekhii hongi ) ho jata hai.

Precautions : Awwaleen aehtiyati tadbeer yeh ki jani chahiye ke aise patients ko deegar afraad se chand weeks tak alehda rakhna chahiye. Is ka fuzla aur deegar fasid maddon ko aehtiyat se thikane lagana chahiye aur jaraseem kash adwiya mile pani se nehlana chahiye. Aise bachen mehnat talab kaam anhi kar sakte, is liye inhe araam karne diya jaey.
Aam logon ko polio ki wabaa ke dino mein khas aehtiyat ki zarorat hai. Wo in dino koi operation ( surgery ) khusosan tonsils operation na karwae aur gher zarori taur par injections na lagwae. Hum mein se bohat se afraad dard kashadwiyat ke istemal ke bajae injection lagwane ko tarjeeh dete hain. Kya hum nahi jante ke syringe new packing mein bhi ho to is ki taraf se mukammal itmenan nahi ho sakta. Kyun ke jaal sazon ke liye new packing mein purana syringe rakh dena kya mushkil hai ??? is tarha mukhtalif bemariyon ke virus aik fard se dosre fard mein muntaqil hone ke imkaan barh jate hain. Gynecologist expert ka khayal hai ke pregnancy ke ibtedai dino he mein polio ke qatrey pila dene se Maa aur Bache dono ke liye behter faisla hota hai.
1 year ki umer se pehle pehle hifazati injections ka course mukammal karwane se bhi bache polio aur deegar bemariyon se bach sakte hain. Yad rah eke agar tamam bachon ko safety injections ka course mukammal nahi karwaya jata to polio ki bemari tezi se pheyl kar hazaron bachon ko lapeyt mein le sakti hai aur yeh bachen sari umer ke liye mazoor ho sakte hain.
Sarkari satah par mulk bhar mein qaiym kiye gaey khusoos marakiz se 5 years ki umer tak ke tamam bachon ko polio ke safety drops diye jate hain. Lehaza tasahil aur takheer na karen. Ghar ghar aane wali teams se tawwun karen. Agar koi bacha mutadid bar polio drops pee len tab bhi koi harj nahi lekin agar aik bhi bacha peene se reh jae to polio ka afriyat, khatra saron par mandlata rehta hai.
Sarkari satah par polio ke qatrey ki mohim bar bar shuru ki jati hai. Is zaman mein kuch tabqat shkook o shubahat ka shikar nazar aate hain. Yeh baat qatai taur par mansoba bandi ki kisi sanjeeda koshish ke tehat khandan ki tauleedi sehat mutasir karne ke liye polio ke naam par drops farahum kar rahi hai. Ya yeh ke Government ko yeh vaccine ghareeb mumalik ko milne wali atiyati mohim ka hissa hai. Ya yeh muddat istemal guzar jane ke bad saste damon ya muft milne wali koi vaccine hai. Aisa hargiz nahi aur yeh wahmey apne nonehalon ke mustaqbil ko mashkook aur pachtawa bana ke rakh sakte hain. Behter hai ke agar chote bache ghar par maujood hon to vaccination team ke sath tawwun karen. Ghar ka koi khuwanda yani taleem yafta fard aage barh kar team ka Shanakhti hawala maloom kare. Medicines ki expiry muddat istemal se pehle check kar len aur phir apne itmenan ke bad drops pilwa diye jaey.
Aeham baat yehi hai ke hum susti, kaheli ya tassub ka muzahira na karen aur apne bachon ki sehat o tandurusti ke muaamlaat par koi samjhota na karen, ta ke hamari aaiynda aane wali generations tawana rahe.

Hysteria (Zehni Beqaiydegi)

Hysteria

Hysteria is a psychological problem, which create from inquietude. It identify from comatose, it means that does not control own emotions and suddenly get unconscious. This condition is also called as psychical and neural disease. Hysteria is a common disease of women, it affects mostly at the age of 15 to 20. We can use Jambolan, honey, lettuce, pumpkin, asafetida and must take juicy fruits and juices of the fruits and vegetables for the better home remedy of hysteria. We can do yoga exercise for hysteria disease. Please first take advice to your Doctor then use any type of tips and treatment In this page, you can see the information and best home treatment about hysteria.



Hysteria In Urdu
Hysteria aik zehni beqaiydegi hai jo shadid qisam ke izteraab se peyda hoti hai. Ise harkaat aur jazbat pe qaboo na rehne aur achanak jazbati heejan ke sath behosh ho jane se shanakht kiya jata hai. Yeh ziyada tar fard ki zaat mein daba di jane wali kashmakash ka natija hoti hai. Ise nafsiyati kefiyat ya asbi marz bhi kehte hain. Jo haqaiyq ka samna karne mein nakami ki wajah se peyda hota hai. Aurton ki aam bemari hai jo ziyada tar 15 se 20 saalki umer ki larkiyon ko lahaq hoti hai.

Hysteria Causes and Symptoms :
Hysteria ke dauron ki alamaton mein azlaat ka bharipan, shadid qisam ki einthen, pait ke nichle hisse mein khichao ka shadid tareen ehsaas, musalsal thande saans lena ya aahen bharna, saans lene mein dushwari, chati mein khichao, tez dharkan, gale mein kisi chez ka phansa hua mehsoos hona, neck aur shah rug ki swelling, dam ghutna, sir dard, danton ka bhench jana aur tangon ke patthon ka tanao shamil hai. Shadid soorat mein kuch aur alamatein dekhi ja sakti hai. Jin mein rona aur cheekhna, na mukammal behoshi, gher mamoli taur par sooji hui garden, dil ki dharkan mein hungama khez be tarteebi, tangon ke patthon mein tashanj ki wajah se chalne phirne se maazori, khaufzada ho jana aur hungama aara naqal o harkat shamil hain.
Tibbi alamton mein iradey ki kamzori, tawajja, hamdardi aur mohabbat ki khuwahish, jazbati adam istehkam ka rujhan rakhan, hysteria ki kefiyat ya attack chand din ya weeks tak reh sakta hai. Is ke attack mein mubtila mareez gehri neend mein dooba hua mehsoos ho sakta hai. Lekin is ke patthe amoman einthen mein mubtila hote hain.
Hysteria ke amomi asbaab jinsi ghutan, paraganda khayali, aur susti, kaheli hote hain. Muztarab khandani pas e manzar aur naukhezi mein naqis jazbati tarbiyat hysteria ka sabab bante hain. Maurosi asraat bhi aeham tareen wajah ho sakte hain. Jazbati khalfashar ka pas e manzar zehni tana, dabao, khuaf, pareshani, depression, zakhmi hona, khud lazzati aur taweel bemari ho sakta hai.

Hysteria Treatment In Urdu (Hysteria Ka Ilaj)
Jaman (Jambolan) :
Hysteria ke ilaj mein jaman ka phal (fruit) aik asar angez gharelo medicine hai. Jambolan ka paka hua fruit 3 kg, muthi bhar namak ke sath pani se bhare matke mein daal den. Is matke ko aik hafte tak dhoop mein rakha rehne den. Hysteria ke patient ko 300 gram jaman (Jambolan) ka fruit aur aik cup pani us matke se subha khali pait den. Jis roz yeh ilaj shuru kiya jaey, usi roz mazeed 3 kg jaman le kar aik aur matke mein namak ke sath pani mein daal den aur dhoop mein rakh den, ta ke jab pehle matke ka pani khatam ho to dosra matka tayyar ho. Yeh ilaaj 2 weeks tak musalsal jari rakhen.

Shahad (Honey) :
Honey ko bhi hysteria ke ilaj ke liye maussir dawa qarar diya jata hai. Khane ka 1 chamcha honey daily patient ko khane ke liye diya jaey.

Lauki (Pumpkin) :
Lauki (Pumpkin) hysteria mein beroni istemal ke liye karaamad chez hai. Fresh Lauki (pumpkin) ka gooda achi tarah kuchal masal kar patient ke sir par lagaya jaey to marz ki shiddat batadreej kan ho jaegi.

Litchi (Lettuce) :
Litchi (Lettuce) ko is marz mein mufeed kaha jata hai. Fresh lettuce leaves ka juice 1 cup, 1 tea spoon aamla ka juice ke sath daily subha aik maah tak is marz ki dawa ke taur par pilaya jaey to masbat nataiyj baraamad honge.

Sarb Gandha :
Is ki roots ka safoof 1 gram 1 cup milk ke sath din mein 3 bar lena shafi rehta hai. Yeh ilaj mukammal sehatyabi tak jari rakhna chahiye.

Asafetida ( Heeng ) :
Yeh hysteria ka maussir ilaj hai. Is ki gond ko soonghna hysteria ke attacks ko rokta hai. Agar patient mou ke zariye khane par tayyar ho to gond nisf se 1 gram tak daily khilai jaey, lekin agar patient ise khane par tayyar na ho to 1 amlision anima ke liye tayyar kiya ja sakta hai. 2 gram heeng ki gond ko 120 liter pai mein josh den kar anima ke liye istemal karen, is mehlool ko peene ki ijazat nahi.

Ghizaai Tarteeb :
Hysteria ke ziyada tar patient ke liye munasib yehi hota hai. Ke ilaj ke aaghaz mein chand din tak sirf fruits par msuhtamil ghizaey khaey. In dino mein teeno waqt khane mein juicy fruits maslan Malta, apple, grape fruit, papaya aur pineapple waghera ka intekhab kiya jaey. Is ke bad taqriban 1 month tak sirf doodh istemal kiya jaey. Milk ki ghiza sehatmand khoon peyda karegi aur aesaab ki nashonuma karegi. Agar sirf doodh peena mumkin na ho to phir doodh aur fruits ko apnaya jaey. Bad aza patient khob mutawazin ghizaey istemal karna shuru kar den, jin mein seeds, phalliyan, ghalla, sabziyan aur phal shamil hain. Sharab, tea, coffee, tobacco, white sugar, meyde aur un se bani chezon se parhez kiya jaey.

Deegar Iqdamat :
Patient ko khud par qabo pana sikhaya jaey aur achi sochon ki taleem di jaey. Is ka zehan apni zaat se hata kar kisi bhi tarha dosri sehat mandana sargarmiyon aur dilchaspiyon ki taraf laya jaey. Jinsi amoor ko sehat mandana aur pakeeza andaz mein samjhaya jaey. Jismani exercise tameeri sargharmiyan intehai aeham hain. In se zehan apni zaat se hat kar khushgawar mauzoaat ki taraf chala jata hai.
Yoga ke aasano mein se is marz ke ilaj mein mutaddid aasan sath de sakte hain. Jin mein bhojan aasan, shalbh aasan, sarwang aasan, hill aasan aur pushi motan aasan shamil hain. Yoga madra aur shu aasan bhi mufeed rehte hain. Aise kamzor patient jo ziyada sakht exercise bardasht na kar sakte hon, unhe week mein 3 ya 4 baar massage karwa lena chahiye.

Heart Disease (Dill k Amraz)


Heart Disease (Dil Ke Amraz)

Heart disease (Dil ke Amraz ) is very danger disease. It is very sensitive disease. Heart patients take light and digest food always. Heart patients do not use Meat. They can use Vegetables Tinda, Pumpkin, Gourd, Spinach, Turnip, Radish, Tomato, and Carrot. Mostly use fresh fruits. Milk and Yogurt are also very useful for Heart patients. Tobacco and Tea is very dangerous for heart Patients. Please first take advice to your Doctor then apply any tip of Cure. In this page, you can see the information about Heart Disease In Urdu Dil Ke Amraz ).

Heart Disease In Urdu ( Dil Ke Amraz)
Dil Ki Bimari Ka Ilaj
Dil ke Amraz (heart disease) aaj kal bohat barh gae hain. Taqriban 50 % insaan ki dil ki kami na kisi bimari ka shikar milenge. Zaafey qalb aur hafqan ki shikayat to bohat he aam hai. Aap ne kabhi socha ke aakhir dil ke amraz (heart disease) ki wajah kya hai, is ka sabab kya hai ???
Is ki sab se barhi aur aeham tareen wajah hamari masnooi zindagi hai. Hum fitrat se bohat door chale gaye hain. Qudrat ne hamare liye jo mufeed aur sehat bakhsh ghizayen peyda ki hain. Unhe chor kar zuban ke chatkhare ke ghulam ban gaey hain. Hamari ghiza mein ghizaeyyat ke bajae lazzat ka ziyada khayal rakha jata hai. Is se kae bimariyan la haq ho jati hain. Dil ke Amraz (Heart disease) ka baiys jahan ghalat ghiza hai wahan is ka qudrati aur sahi ilaaj bhi ghiza he hai.
Dil ke mareez ko hamesha halki aur zod hazam ghizaeyn istemal karni chahiye. Tea, qehwa, sharab, kabab, egg, cake, pastry, chocolate, bringal, aur basi ghizaeyn sakht nuqsan dey hain. Meat ka use bilkul tark kar diya jae to behtar hai taza sabziyan Tinda, Pumpkin, Torri, Spinach, Turnip, Tomato, carrot aur Raddish be had faiydemand hai. Taza phalon (Fresh fruits ) ka ziyada se ziyada istemal mufeed hai. Milk aur yogurt aesi qudrati ghizaeyn hain jin se kae danger diseases se nijaat mil sakti hai. Dil ke Amraz (heart disease) ki aik wajah meyde aur lever ki kharabi bhi hai. Lever, meyde ki kharabi, yun to bohat se amraaz ki Maa lekin dil par to be had bura asar dalti hai. Is liye dil ke amraaz se bachne ke liye Lever, meyde ki islaah aur in ka thek rakhna be had zaroori hai. Khafqan aur dil ki dhadkne aik barhi wajah jigar o meyde ki kharabi hai. Is ke ilawa Tobacco aur Tea ki kasrat bhi is bimari ka baiys hai.

Contact Form

Name

Email *

Message *