29 March 2016

Allergy



Allergy can be of many types. It can be from fruits, from changing season. When any tissue of body gets sensitive. When a factor that can cause Allergy touch directly to body or mix in blood it will cause Allergy. There can be many symptom and different reactions of Allergy. There is a detail description of Allergies and there cure. In this page, you will read Allergy Ka Ilaj , Allergy Ka Ilaj Bil Ghiza, Allergy Ka Ilaj Urdu and Roman Hindi. Please first take advice to your Doctor then use any tips.

Lafz Allergies ki matlab kisi tabdel shudah ya abnormal baft ka rad e amal hai jo Allergy paida kane wale kisi amil ke asrat muratab hone par paida hota hai. Allergic rad e amal is waqat paida hota hai jab jism ki baftein hasasiyat ka shikar hun. Allergy paida karne wale amil ka asar is ke barahe rast jild se mas none ya nasiji bafton ke zarye pehanne ya phir khoon mein shamil none se muratab hota hai. jism ka koi bhi hissa Allergy paida karne wale amil se mutasir ho sakta hai.
Allergy par mabni rad e amal bohat se madon ya halton se runoma ho sakta hai. in mein zar gul (pollen), gard o ghubar, cosmetics, janwaron ke bal, zeharile podon, vaccine, serum, adwiyat, tibiyati amil maslan garmi, sardi aur dhoop ke elawa mutadid ghizaein shamil hain. Esi ghizaein jo amoman Allergy paida karti hain, wo janwaron ke aza dodh, ande, machli, gandum, behri ghizaein, chocolate, timatar aur strawberry hain.

Alamat Aur Asbab
Allergy ki alamat mukhtalif aza mein mukhtalif shakalon mein zahir hoti hai in mein sar dard, dard e shaqiqa, sar chakarana, ishteaal, asab zadgi, depression, pathon ka dard, ashob e chasham, eczema, zard bukhar, naak ka band hona ya ziyadah behna, ishal, qee, chapaki, dama, dam ghutna aur chehre ya aankhon ka sojna shamil hai. aik jese madde mukhtalif logon mein mukhtalif waqat mein mukhtalif alamat paida karte hain. Jazbati aur nafsiyati dabao bhi Allergy paida karte hain.

Allergy Ka Ilaj
Vitamins: mutadid vitamins Allergy se tahafuz aur ilaj ke leye mosar sabit hote hain. Baz oqat vitamin B (5) ya pinto thank acid ka istemal mutasirah afrad ko zabardast afaqa deta hai. ye vitamin rozana 100 mili gram aik khurak ke tor par aik mah tak leni chaheye. Allergy ke waqeyat mein pinto thank acid ka wafer istemal rakhna chaheye. Chahe aaram kai hafton mein aaye vitamin E ka rozana 40 milligram istemal 6 hafton tak mufeed rehta hai kyun ke is vitamin mein bhi Allergy dor karne wale ajza hote hain.

Caster Oil
Aik Hindustani mulij Dr. Hemant Pathak ne Allergy ke leye aik musar gharelo ilaj daryaft kia hai. unhon ne dekha ke caster oil ke 5 qatre kisi phal ya sabzi ke adha cup juice mein mila kar subah ke waqat khali pate pina intaryon, jild aur naak ki nail ki Allergy ke leye bohat mufeed hai. unhon ne Allergy ke mutadid marizon ko is ilaj se shifayab kiya.

Lemon
Is tursh phal ko kai tarah ki Allergy mein aik mosar ilaj qarar diya jata hai. aik glass garam pani mein adha lemon nichor kar ese aik chai ka chamcha shehad se metha kar liya jaye to rozana subah khali pate kai mah tak pena bohat faidah deta hai. is mashrob ka istemal na sirf jism ki aalaishein aur fasid madde kharij karta hai balke Allergy se bhi tahafuz deta hai. jin logon ko bazaat e khud tursh phalon se Allergy ho, unhein ye nuskha istemal nahi karna chaheye.

Kela - Banana
Jin afrad ko kuch ghizaon se Allergy hoti ho ya jild par dane nikal aate hon(srukh bad), medde ki baqaidgi aur dame waghairah jesi Allergy se musalsal mutasir hote rehte hon, unhein rozana aik ya do kele (banana) khana mufeed rehta hai.albata kuch logon ko khud isi phal se Allergy lahaq ho jati hai, unhein kela (banana) khane se parhez hi behtar hai.

Sabziyon Ke Juice
Gajar ka juice 500 ml ya gajar ke sath khere aur chuqandar ka juice mila kar pena bhi Allergy ke leye musar rehta hai. mushtarka juice ki sorat mein khere aur chuqandar ka juice 200 ml aur gajar ka juice 300ml lena chaheye. Ese rozana aik dafa pena zarori hai.

Ghizai Tarjihat
Allergy se mehfoz rehne ka is ka ilaj karne ka behtareen tariqa ye hai ke majmoi tor par jismani muzahmat ko taqat war banaya jaye ta ke kisi bhi qism ki Allergy paida karne wale kisi amil se maghlob na ho jayein. Dakhili jismani nizam e muzahmat ko mazbot banane ke leye ibteda mein mariz ko 4, 5 roz tak mashrobat (tazah phalon ke juices) ka roza rakhwaya jaye, kuch dinon ke faqfe ke bad bar bar is juice fast ke natije mein sabiqa Allergy par qabo pane mein madad mile gi. Juice fast ke bad sirf phalon ya sabziyon ko mukamal khanon ki hesiyat di jaye, in mein gajar, ingor ya seab waghairah aik hafte tak khaye jayein. Aik hafte bad khanon mein koi tesri ghiza shamil ki ja sakti hai aur chote (4th) hafte ke bad protein par mushtamil khane bhi shuru kiye ja sakte hain. Jab koi nai khai jane wali cheiz se Allergy notice mein aaye to is ka istemal tark kar denaur is ki jagah koi aur nai ghiza khana shuru kar den. Is tarah aap ke leye ghizaon se Allergy paida karne wali tamam cheizon ka khatma mumkin ho jaye ga.
Apni ghizaon mein se jin ghizaon ka khatma karna zarori hai in mein chai, coffee, kola drinks, sharab, chini aur is se taiyar ki jane wali products, pise hoye aur saf shudah anaj (bhosi chilka waghairah utarna), gosht, machli, murghi, tambako, panir, makhan, aag par bhone howae ya achar se taiyar kardah khane shamil hain. Ese khanon aur ghizaon se bhi parhez kiya jaye jin mein zaiqa ya ziyadah arse tak mehfoz rakhne ke leye chemicals istemal kiye jate hain.

Degar Iqdamat:
Esi Allergy ki kefiyat jin mein zehani dabao ka ansar bhi mujod ho, un ke leye zarori hai kea ram ke sath sath darj zel tariqekar bhi apnaya jaye. Yani warzish, istaghraq aur zehani qowat se kaam liya jaye. Ye tariqakar dabao dor kar deta hai yak am iz kam ese kam kar deta hai aur Allergy ke ilaj mein madadgar sabit hota hai. yoga kea san maslan yoga aasan, ardh, mat sindara asan, shiv asan, viloma purana yama asan Allergy ke ilaj ke leye mufeed rehte hain. 

No comments:
Write Comments

Contact Form

Name

Email *

Message *