Prevention of Sunstroke (Loo Lagney se Bachao)
Sunstroke means that, when sun shine falls on the person for a long period of time, so person affected from the sunstroke. It is called as also heat stroke. Sunstroke is the over exposure of the sun shines. The intention of heat and the rays of sunshine are mainly caused of sunstroke. Sunstroke symptoms are headache, thirstiness, feeling uncomfortable, urine problem, face and eyes gets reddish, heart beat fast, fever, weakness, feeling sweaty etc. In this topic we talked about some medicated prescription for sunstroke, but please first take advice to your doctor after that use any medicine. In this page you can see the information about sunstroke (Loo Lagna , Loo Lagne Ka Ilaj, Loo Lagna Treatments In Urdu and Roman Hindi.
Loo Lagna:
Loo Lagna:
Garam areas mein jahan garmi ziyada parhti hai. Aksar mausam e garma yani June July ke months mein aksar log loo lagjane se mutassir hote hain. Garmi ki shiddat aur aaftaab ki tezi se bahar dhoop mein kaam karne, garmi mein safar karne ya garam kamre mein kaam karne se aik ajeeb naqahat si taari ho jati hai. Jis mein mareez apne hosh o hawas kho bethta hai aur gumm ho jata hai. Amoman loo lagne se patient ke sir mein dard hota hai. Piyas shadeed aur sakht be aaraami. Peshab bar bar aata hai. Face aur aankhen surkh aur dil ki dharkan barh jati hai aur bukhar bhi ho jata hai.
Patient nihayat zaeef ho kar behosh ho kar gir parhta hai. Tamam jism pasina pasina ho jata hai aur nabz bareek ho jati hai. Kabhi ubkaiyan aati hain. Baaz auqat sirsami kefiyat ho jati hai. Aise waqt mein mareez ko kisi thandi sayadar jagah lita dena chahiye aur jism ko zara daba dena chahiye aur taza thanda pani ya doodh mareez ko pilane se jald he mareez hosh mein aa jata hai.
Loo Lagne Ka Ilaj:
Loo Lagne Ka Ilaj:
Medicines
1. Aconite : Dhoop mein sone ki wajah se sunstroke (Loo Lagne) ka ho jana, bechaini, ghabrahat aur maut ka khauf. Ibtedai marz mein is ka istemal karen. Is ka patient mota taza hota hai aur be aaraami paai jati hai.
2. Belladonna : Yeh bhi pur khoon afraad ki dawa hai. Is ki alamaat yukdam aur shadeed paida hoti hai. Sir ki taraf ijtema khoon, face surkh aankhen surkh aur pao thande. Is ka mareez chup chap lete rehna chahta hai.
3. Natrum Carbonicum : Sunstroke (Loo Lagna) ke mazmin asraat ko door karne ke liye behtareen dawa hai. Mausam e garma ki garmi se kamzori ka barhna is ki makhsoos alamat hai. Dhoop ya gas ki garmi waghera se sir dard. Dhoop aur garmi se ya dimaghi mehnat ya raag se takaleef barhti hain.
4. Lachesis : Sunstroke (Loo Lagna) ke bad asraat jab ke purane ho gae hon, mareez dhoop bardaasht nahi kar sakta. Ghunodgi mein hath pao thande jism aur hathon mein larza. Zaban ka larza is ka makhsoos nishan hai. Zaban jald jald bahar nikalti hai. Jaise saanp ki zaban hila karti hai.
5. Natrum Muriaticum : Sir dard jo sooraj ki garmi se barhe aur ghuroon hone par khatam ho jae. Sir mein tapkin face mein surkhi.
Matli aur qey. Loo Lagna Sir mein shadeed dard jhatke jaise hatora mara jar aha ho. Biochemical mein sunstroke ki best medicine hai. Dhoop, stroke ki garmi, band garam makaan aur mausam e garma mein takaleef barhti hain. Dimaghi aur jismani kamzori be had hoti hai.
Matli aur qey. Loo Lagna Sir mein shadeed dard jhatke jaise hatora mara jar aha ho. Biochemical mein sunstroke ki best medicine hai. Dhoop, stroke ki garmi, band garam makaan aur mausam e garma mein takaleef barhti hain. Dimaghi aur jismani kamzori be had hoti hai.
6. Moschus : Jab mareez hosh o hawas kho betha ho. Dil ki dharkan barh jae. Quwwat e hayaat doobti maloom ho. Aesi halat mein moschus 30 ya mother tincture ki chand khuraak dene se mareez forum hosh mein aa jata hai.
7. Crataegus : Jab kisi marz mein dil fail hone ka khadsha ho to is dawa ko bataur mujarrib istemal kar ke mareez ki jaan bachae. Har 10, 15 minute bad mother tincture ke 10 se 15 drops fee khuraak den ya bataur injection istemal karen.
Note : In this topic we talked about some medicated prescription for sunstroke, but please first take advice to your doctor after that use any medicine.
No comments:
Write Comments