29 March 2016

Depression Kya Hai? - Depression In Urdu

What is Depression?

Depression is an illness that involves brain. The people with depression may loss their interest in their daily activities. They fell that there is no reason for them to live and they that their lives are useless. Depression can be genetic, environmental and many more reason for depression. Depression is most common in women. . In this page, you will read Depretion in Urdu.( Depression Kya Hai) Depression Symptom In Urdu and Roman Hindi.





Hum waqatan fawaqatan udasi, mayosi aur bazari mein mubtala hote rehete hain. Ye alamat amomo halat mein aik do hafte mein thek ho jati hain mamulat par in se koi farq nahi parta. Udasi bay wajah bhi ho sakti hai. Bazahir udas hona aik mamol ki qudrati halat hai baz uqat hum khud hi is ka muqabla kar lete hain aur baz uqat doston se baat kar ke thek ho jate hain albata is ka dorania tawil ya is ke dore parna shoro ho jaein to mamla ghambhir samjha jata hai. Depression mein udasi ki shidat aam udasi ke muqable mein kahein ziyadah hoti hai, is ka dorania bhi tawil hota hai. Kam azkam char (4) elamat esi jo is no ke depression ki nishandahi karti hain.
Pheli ye ke aik shaks har waqat ya ziyadah waqat afsurdah rahe, jin cheizon aur kammon mein phele dilchaspi thi ab un mein dil na lage, jismani ya zehani kamzori ya thakan mehsos kare, apnea p ko dosron de kam tar samajhne lage, mazi ki choti choti baton par apnea p ko ilzam de, apne ko nakara samjhe, khudkushi ka rujhan ya is ki koshish karna, nend aur bhook karab ho jaye.
Baz taqlifdah waqeyat maslan kisi qarebi aziz ka inteqal, talaq ya nokri jate rehne ke bad kuch arsa udas rehnafitri hai magar baz log is udasi se bahar nahi aapate aur depression ka shikar ho jate hain. Agar hum tanha hun, humare as pas koi dost na ho, hum zehni dabao ka shikar hun yah um bohat ziyada jismani thakan ka shikar hun, in sorton mein depression ka khatrah barh jata hai. Jismani tor par bemar logon mein depression ka khatrah ziyadah hota hai. Bemari esi bhi ho sakti hai jo zindagi ke leye khatarnak ho maslan cancer ya dil ki bemariyan, ya phir tawil doraniye ki taklif, jese joron ki taklif ya sans ki bemariyan. Nojawan logon mein viral infection hone se bhi depression ka khadsh barh jata hai. Baz mizajon mein depression ki qaboliyat ziyadah hoti hai. Is ki wajah humari shakhsiyat ho sakti hai aur bachpan ke halat o tajurbat bhi.
Alcohol par ziyadah inhesar bhi depression mein dal sakta hai. Ese afrad mein khudkushi ka rujhan dosron ki nisbat ziyadah hota hai. Khawateen mein depression ka rujhan mardon se ziyadah hota hai. Depression moros mein bhi ho sakta hai. Morose rujhan rakhne walon mein dosron ki nisbat is ka khadsha 8 guna ziyadah hota hai. Maniac depression ya bay polar disorder bhi depression ki aik kism hai. Is depression ke shikar taqreban 10 fisad log kefiyati doron se do char hote hain. Ese afrad ba wajah bohat khush rehte hain aur normal se ziyadah kaam karte hain. Is tezi ke dore ko “mania” aur is bemari ko bay polar disorder khete hain. Is bemari ki sharah mardon aur uraton mein barabar hai aur ye bemari baz khandanon ke tawaris mein bhi ho sakti hai.

No comments:
Write Comments

Contact Form

Name

Email *

Message *