Gallbladder Stone (Pitta ki pathri)
If we have stone in gall bladder, so it is very painful disease. The symptoms of gall bladder are vomiting, pain in shoulder and back. Sometime Patient get faint bring about the intensity of pain. Almost the stone of gall bladder created from the intensity of bilious bring about the liver problem. In this topic we talked about some medicine for stone of gall bladder, but please kindly request to you that first to take advice to your Doctor, after that use any medicine according to your disease. In this page you can see the information and treatment about Gall Bladder Stone In Urdu (Pitta ki pathri) In Roman Hindi.
Gallblader Stone In Urdu:
Gallblader Stone In Urdu:
Agar Pitta mein pathri (gall bladder Stone) ho to pitte mein dard hota hai. Matli aur qey hoti ho, dard ki lehar kandhe aur peeth tak jati hai. Kabhi mareez dard ki shiddat ke baiys behosh ho jata ho. Yeh aksar jigar ki kharabi ke baiys safra ki ziyadti se paida hoti hai.
Pitte Ki Pathri Ka Ilaj In Urdu:
Medicines
1. Belladonna : pitte mein dard tez goli lagne ki tarah hote hain. Jo yukdam shuru hone ke bad mukhtalif simton mein phel jate hain aur kam o besh waqt reh kar yakayak ghayab ho jate hain.
2. Nux Vomica : pitte mein Shadid dard jis ki wajah se patient bohat bechain ho, subha ke waqt khana khane ke bad riyahi uphara aur bad hazmi ghiza se nafrat qabz aur chirchirapan paya jata hai. Pitta ki pathri (Gall Bladder Stone) ki wajah se jaundice ka ho jana. Attack ki halat mein chloroformum se behtar kaam karti hai.
3. Netrum Sulphuricum : Dimaghi mehnat aur gussa se liver mein kharabi paida ho, jis se safra liver ki pathriyon mein tabdeel ho jata hai. Yeh medicine is kefiyat ko door kar ke safra ko durust karti aur stones ki paidaish ko khatam karti hai. Riyah ki ziyadti aur khalipan ka ehsaas jis mein riyah ke ikhraaj se kami ho.
4. Lycopodium : Pitta ki pathri (Gall bladder stones) mein shadid dard. Spleen yani tilli ke qareeb large intestine mein ghargharahat shikam right side qolanji dard jo uterus mein jae. Peshab ki bar bar hajat jis mein surkh rait kharij ho. Riyah bohat ziyada jo ke pait ke nichle hissa mein dard paida karen.
5. Thlaspi Bursa Pastoris : Pitta ki pathri (Gall bladder stone) ke dard jo liver aur reham ki kharabiyon ki wajah se ho. Bar bar urine ki hajat jis mein eeint ki si surkh rait kharij ho.
6. Cinchana officinalis : Pitta ki pathri (Gall bladder stones) aur dard ke liye behtareen dawa hai. Is ke mutawatir istemal se stone aur dard se bohat jald nijaat mil jati hai. Kamzori aur behoshi face zard aur aankhen andar ko dhansi huihoti hain. Tamam pait riyah se bhara rehta hai.
7. Chloroformum : Pitta ki pathri (Gall bladder stone) aur dard ko door karne ke liye mufeed hai. Naiz behoshi paida karne ke liye bohat miqdar mein istemal kiya jata hai.
8. Cholesterinum : Jaundice mein Pitta ki pathri (gall bladder stones) ke liye mufeed hai.
Note : In this topic we talked about some medicine for stone of gall bladder, but please kindly request to you that first to take advice to your Doctor, after that use any medicine according to your disease.
No comments:
Write Comments