29 March 2016

Hysteria (Zehni Beqaiydegi)

Hysteria

Hysteria is a psychological problem, which create from inquietude. It identify from comatose, it means that does not control own emotions and suddenly get unconscious. This condition is also called as psychical and neural disease. Hysteria is a common disease of women, it affects mostly at the age of 15 to 20. We can use Jambolan, honey, lettuce, pumpkin, asafetida and must take juicy fruits and juices of the fruits and vegetables for the better home remedy of hysteria. We can do yoga exercise for hysteria disease. Please first take advice to your Doctor then use any type of tips and treatment In this page, you can see the information and best home treatment about hysteria.



Hysteria In Urdu
Hysteria aik zehni beqaiydegi hai jo shadid qisam ke izteraab se peyda hoti hai. Ise harkaat aur jazbat pe qaboo na rehne aur achanak jazbati heejan ke sath behosh ho jane se shanakht kiya jata hai. Yeh ziyada tar fard ki zaat mein daba di jane wali kashmakash ka natija hoti hai. Ise nafsiyati kefiyat ya asbi marz bhi kehte hain. Jo haqaiyq ka samna karne mein nakami ki wajah se peyda hota hai. Aurton ki aam bemari hai jo ziyada tar 15 se 20 saalki umer ki larkiyon ko lahaq hoti hai.

Hysteria Causes and Symptoms :
Hysteria ke dauron ki alamaton mein azlaat ka bharipan, shadid qisam ki einthen, pait ke nichle hisse mein khichao ka shadid tareen ehsaas, musalsal thande saans lena ya aahen bharna, saans lene mein dushwari, chati mein khichao, tez dharkan, gale mein kisi chez ka phansa hua mehsoos hona, neck aur shah rug ki swelling, dam ghutna, sir dard, danton ka bhench jana aur tangon ke patthon ka tanao shamil hai. Shadid soorat mein kuch aur alamatein dekhi ja sakti hai. Jin mein rona aur cheekhna, na mukammal behoshi, gher mamoli taur par sooji hui garden, dil ki dharkan mein hungama khez be tarteebi, tangon ke patthon mein tashanj ki wajah se chalne phirne se maazori, khaufzada ho jana aur hungama aara naqal o harkat shamil hain.
Tibbi alamton mein iradey ki kamzori, tawajja, hamdardi aur mohabbat ki khuwahish, jazbati adam istehkam ka rujhan rakhan, hysteria ki kefiyat ya attack chand din ya weeks tak reh sakta hai. Is ke attack mein mubtila mareez gehri neend mein dooba hua mehsoos ho sakta hai. Lekin is ke patthe amoman einthen mein mubtila hote hain.
Hysteria ke amomi asbaab jinsi ghutan, paraganda khayali, aur susti, kaheli hote hain. Muztarab khandani pas e manzar aur naukhezi mein naqis jazbati tarbiyat hysteria ka sabab bante hain. Maurosi asraat bhi aeham tareen wajah ho sakte hain. Jazbati khalfashar ka pas e manzar zehni tana, dabao, khuaf, pareshani, depression, zakhmi hona, khud lazzati aur taweel bemari ho sakta hai.

Hysteria Treatment In Urdu (Hysteria Ka Ilaj)
Jaman (Jambolan) :
Hysteria ke ilaj mein jaman ka phal (fruit) aik asar angez gharelo medicine hai. Jambolan ka paka hua fruit 3 kg, muthi bhar namak ke sath pani se bhare matke mein daal den. Is matke ko aik hafte tak dhoop mein rakha rehne den. Hysteria ke patient ko 300 gram jaman (Jambolan) ka fruit aur aik cup pani us matke se subha khali pait den. Jis roz yeh ilaj shuru kiya jaey, usi roz mazeed 3 kg jaman le kar aik aur matke mein namak ke sath pani mein daal den aur dhoop mein rakh den, ta ke jab pehle matke ka pani khatam ho to dosra matka tayyar ho. Yeh ilaaj 2 weeks tak musalsal jari rakhen.

Shahad (Honey) :
Honey ko bhi hysteria ke ilaj ke liye maussir dawa qarar diya jata hai. Khane ka 1 chamcha honey daily patient ko khane ke liye diya jaey.

Lauki (Pumpkin) :
Lauki (Pumpkin) hysteria mein beroni istemal ke liye karaamad chez hai. Fresh Lauki (pumpkin) ka gooda achi tarah kuchal masal kar patient ke sir par lagaya jaey to marz ki shiddat batadreej kan ho jaegi.

Litchi (Lettuce) :
Litchi (Lettuce) ko is marz mein mufeed kaha jata hai. Fresh lettuce leaves ka juice 1 cup, 1 tea spoon aamla ka juice ke sath daily subha aik maah tak is marz ki dawa ke taur par pilaya jaey to masbat nataiyj baraamad honge.

Sarb Gandha :
Is ki roots ka safoof 1 gram 1 cup milk ke sath din mein 3 bar lena shafi rehta hai. Yeh ilaj mukammal sehatyabi tak jari rakhna chahiye.

Asafetida ( Heeng ) :
Yeh hysteria ka maussir ilaj hai. Is ki gond ko soonghna hysteria ke attacks ko rokta hai. Agar patient mou ke zariye khane par tayyar ho to gond nisf se 1 gram tak daily khilai jaey, lekin agar patient ise khane par tayyar na ho to 1 amlision anima ke liye tayyar kiya ja sakta hai. 2 gram heeng ki gond ko 120 liter pai mein josh den kar anima ke liye istemal karen, is mehlool ko peene ki ijazat nahi.

Ghizaai Tarteeb :
Hysteria ke ziyada tar patient ke liye munasib yehi hota hai. Ke ilaj ke aaghaz mein chand din tak sirf fruits par msuhtamil ghizaey khaey. In dino mein teeno waqt khane mein juicy fruits maslan Malta, apple, grape fruit, papaya aur pineapple waghera ka intekhab kiya jaey. Is ke bad taqriban 1 month tak sirf doodh istemal kiya jaey. Milk ki ghiza sehatmand khoon peyda karegi aur aesaab ki nashonuma karegi. Agar sirf doodh peena mumkin na ho to phir doodh aur fruits ko apnaya jaey. Bad aza patient khob mutawazin ghizaey istemal karna shuru kar den, jin mein seeds, phalliyan, ghalla, sabziyan aur phal shamil hain. Sharab, tea, coffee, tobacco, white sugar, meyde aur un se bani chezon se parhez kiya jaey.

Deegar Iqdamat :
Patient ko khud par qabo pana sikhaya jaey aur achi sochon ki taleem di jaey. Is ka zehan apni zaat se hata kar kisi bhi tarha dosri sehat mandana sargarmiyon aur dilchaspiyon ki taraf laya jaey. Jinsi amoor ko sehat mandana aur pakeeza andaz mein samjhaya jaey. Jismani exercise tameeri sargharmiyan intehai aeham hain. In se zehan apni zaat se hat kar khushgawar mauzoaat ki taraf chala jata hai.
Yoga ke aasano mein se is marz ke ilaj mein mutaddid aasan sath de sakte hain. Jin mein bhojan aasan, shalbh aasan, sarwang aasan, hill aasan aur pushi motan aasan shamil hain. Yoga madra aur shu aasan bhi mufeed rehte hain. Aise kamzor patient jo ziyada sakht exercise bardasht na kar sakte hon, unhe week mein 3 ya 4 baar massage karwa lena chahiye.

No comments:
Write Comments

Contact Form

Name

Email *

Message *