31 March 2016

Hemicrania (Dard e Shaqiqa)


Hemicrania

(Dard e Shaqiqa)


Hemicrania is a very dangerous and misery pain. Rarely has it continuous 72 hours. Hemicrania gets the no.20 in the list of severe diseases in all over the whole World. Hemicrania contact with the hormone of Serotonin. The different people faced the problem of Hemicrania in different format. Do not use caffeine and alcohol. It is very harmful in hemi crania. We should use water daily more and more. In this page you can see the information about Hemicrania in Urdu (Dard e Shaqiqa) In Roman Urdu.

Dard e Shaqiqa


Koi shakhs agar yeh kahe ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) dard e sir he ki aik qisam hai to samajh lijiye ke use khud kabhi yeh takleef nahi hui. Hemicrania (Dard e Shaqiqa) to nihayat takleef aur shaded dard hai. Jo kabhi kabhi 72 ghante tak rehta hai. Aalmi idara e sehat ne haal he mein duniya ki shaded tareen bemariyon ki jo list tarteeb di hai us mein Hemicrania (Dard e Shaqiqa) 20 number per hai.
Hemicrania (Dard e Shaqiqa) mein dimagh hila dene wala dard to hota he hai, lekin sath he dosri alamaat bhi hoti he hain. Maslan faraib khayal, zehni uljhan, matli, qey, ishaal, nez roshni, bou aur shor se ziyada hasasiyat. Aik mahir ne bataya ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ki asal wajah ab tak maloom nahi ho saki. Tahum khayal yeh hai ke is ka talluq Serotonin naami hormone se hai. Jo Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke patients mein sir ki ragon ko matoram kar deta hai.

Hemicrania (Dard e Shaqiqa) mukhtalif logon mein mukhtalif shakal mein hota hai aur is ke shuru hone ka sabab dabao, thakan, tez roshni, mausam ki tabdeeli aur mamool ke mutabiq khana khana ho sakta hai ya phir Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke zimmedar hormone ki tabdeeli ho sakti hai, kyun ke dekhne mein aaya hai ke is takleef mein mubtila hone walon mein aurton ki tadaad mardon se dugni hoti hai.

Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke ziyada tar patient market mein aam bikne wali dard ki tablets maslan, disprin ua paracetamol waghera kha lete hain. Agar yeh dawa alamaat ke zahir hote he kha li jae to aksar araam aa jata hai. Baaz nae qisam ki medicines jo muaalij tajveez karte hain. Live serotonin par asar andaaz hoti hain aur in se bhi afaqaa ho sakta hai. Lekin medicines ke ilawa dosre tariqe bhi hain, jinhe ikhteyar kar ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) se araam ki soorat paida ho sakti hai.

1.    Food ( Ghiza ) : Ghiza ke silsile mein yeh dono batein aeham hain ke aap kya khate hain aur kitni bar kahte hain. Aik expert ne kaha ke hamari tawanai ki satah mein jo nasheb o faraz hain, wo aksar Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ka sabab ban jate hain. Is ka ilaj aap yun kar sakte hain ke thora thora khae. Lekin kae bar khae. Nez khane mein aise nishaste wali chezen shamil karen, jin se tawanai ka ikhraaj aahista aahista ho. Jo chezen ap khae unhe note karte jae. Ta ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ki soorat mein andaza laga saken ke kis chez ne nuqsan pohchaya hai. Caffeine aur alcohol ka istemal kam rakhen aur daily kam az kam 2 liter pani piyen.

2.    Important Herbs ( Aeham Bootiyan ) : London mein Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke ilaj ke aik markaz mein jo tajurbey kiye gae, un se andaza hua ke jin patients ne 90 days tak daily feverfew naami paude ki 2 ya 3 leaves khae, un mein se 70 % ka Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ya to bilkul khatam ho gaya ya phir is mein afaqaa hua. Feverfew aik khushbodar jhari hai. Jis ke patte rooedar hain. Aur phool safaid. Yeh pehle fever utarne ke liye di jati thi. Is paude mein aik aisa natural chemical madda hota hai. Jo serotonin ke ikhraaj ko rokta hai. Is ka maza acha nahi hota, lekin yeh goliyon ki shakal mein bhi dastiyab hai.

Butterbur labe patton wala jins petasites ka pauda hai, jis ke patton mein makhan lapeta jata tha. Aik tehqeeq se maloom hua ke jin patients ne 12 hafte tak din mein 2 baar is paude ki root ka sut piya hai, un ke Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ki shiddat aur takraarmein 60 % tak kami aa gai hai.

3.    Colorful Glasses ( Aeinak ke rangeen sheeshe ) : Baaz log kisi khas rang ya rangon ki wajah se Hemicrania (Dard e Shaqiqa) mein mubtila ho jate hain. England mein aik haliya research se pata chala hai ke glasses mein rangeen sheeshe istemal karne se dard e Hemicrania (Dard e Shaqiqa) mein izafa ho sakta hai. Lehaza jin logon ko rangya roshni ke baiys Hemicrania (Dard e Shaqiqa) hota hai. Unhe chahiye ke kisi mahir ke mashware se mawafiq rangeen aeinak istemal karen.

4.    Vitamin B –2 : Yeh vitamin bohat si ghizai ashiya mein paya jata hai. Aik haliya research se maloom hua hai ke daily 400 mili gram vitamin B-2 khane se Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ki shiddat aur takraar mein kami aa jati hai. Jin marizon ne is vitamin ki yeh khuraak 3 month jari rakhi. Un ke marz mein 37 % kami aa gai aur shiddat bhi kam ho gai hai. Agar daily is vitamin ki matloba miqdar ghiza se hasil na ho to iski tablets bhi dastiyab hain.

5.    Acupuncture ( Soozan Zai ) : Tajurbon se andaza hota hai ke yeh Chinese tariqa e ilaj 80 % tak marizon ko faida pohnacha sakta hai. Jism mein tawanai ke zaraey mein soozan zani kar ke aik muaalij tawazun bahaal aura mal andmaal ko tehreek de sakta hai.

6.    Bovine Technique : Yeh nihayat halki malish ka aik tariqa hai. Jis mein angothe aur ungliyon ke zariye jism mein khas khas jagahon par slowly slowly malish ki jati hai. Abyeh tariqa maqbool ho raha hai aur aik research ke mutabiq jin logon ne yeh tariqa e ilaj ikhteyar kiya, un mein se 80 % mein behtari ke aasaar nazar aae.

7.    Ice Strips ( Baraf ki Pattiyan ) : Yeh thandi pattiyan Hemicrania (Dard e Shaqiqa) ke dauran matoram ya pheli hui ragon ko apni asal halat mein lane mein madadgar hoti hain. In ka fori asar hotahai aur is ke sath sath medicines bhi jari rakhi ja sakti hain. Baraf ki pattiyon ko mathe, kanpatiyon aur garden kepichle hisse par rkhna chahiye. Ta ke dard ruk jae yak am ho jae.

No comments:
Write Comments

Contact Form

Name

Email *

Message *