Appendicitis (Appendix)
Appendicitis is often and sudden attack of pain. It creates from indigestible foods, constipation problem and uses of meat. Appendicitis is the inflammation of appendix, it has right side of abdomen in lower. Patient has fever for the intensity of appendicitis pain. The pain of appendix gain from the exercise, so appendicitis patient should not take exercise. In this topic we talked about some medicated prescription, but please kindly request to you that first take advice to your doctor after that use nay medicine. In this page you can see the information and Appendix treatment In Urdu (Appendix Ka Dard) In Roman Hindi.
Appendix In Urdu:
Appendix marz ziyada tar jawani ya udher umar mein hua karta hai. Appendix aksar qabz, saqeel aur baadi ashiya ka kasrat se istemal karna aur gosht waghera ka ziyada istemal se paida hota hai. Awwal pait mein zeeren janib naaf ke ird gird shiddat ka dard hota hai aur apni jagah badalta rehta hai. Lekin aakhirkar naaf ke right taraf dard qaiym ho jata hai. Patient right leg ko aksar khinchta rehta hai. Takleef ki shiddat mein bukhar bhi ho jata hai. Matli aur qey bhi aa jati hai. Maqam maouf par uphara sa mehsoos hota hai aur dabane se dard mein izafa ho jata hai. Khana na khane se is dard mein koi farq nahi parhta. Appendix ka dard exercise karne se aksar barh jata hai.
Appendix Ka Ilaj
Medicines
1. Belladonna : Waram zaiyd mein maqam maouf par shadeed dard hota hai aur mareez ko zara sa chu jana, yahan tak ke bistar ke kaprhon ko bhi bardasht nahi kar sakta. Appendix ke dard yukdam paida ho jata hai aur thori ya ziyada dair rehne ke bad yakayak ghayab ho jata hai.
2. Ignatia : Zaiyd waram ko pakane mein kaam aati hai aur is ko khatam karne ke liye behtareen hai. Daurne wale dard. Appendix ke Tamam ikhraaj badbodar hote hain. Mareez laghar aur be had kamzori. Jab fasaad e khoon ki wajah se tamam jism mein zehar phel jae aur jism thakawat se chor chor ho to is medicine ko istemal karen.
3. Lycopodium : Kali Aant ke mazmin waram aur dard ke liye be misaal dawa hai. Khana khane ke bad pait riyah se bhar jata hai. Dard ke sath peshab ki bar bar hajat jis mein surkh rait aae.
4. Nux Vomica : Kasrat sharab khori. Kasrat aghlambazi, saqeel aghzia ka bakasrat istemal jis se mareez ka hazma sahi na rahe aur bakasrat riyah paida ho, jis se yeh shikayat paida ho jae. Mareez chirchira aur muraghan ashiya ka shedaai ho.
5. Arnica : Chot lagne ka sa dard aur jism par siyah daagh operation ke bad ke dard ke liye behtareen dawa hai.
6. Bryonia : Appendix ka Dard jo harkat se barhe naiz dard wali letne se sukoon milta hai. Qabz aur shadeed piyas jis mein mareez khon pani piye.
7. Arsenic Album : Takaleef ke sabab sakht qisam ka dard, waram aur jalan paai jae, jis ko garmi se araam aae aur sardi se tamam takaleef barhe. Bechaini shadeed kamzori aur shadeed piyas lekin mareez thora thora pani piye.
8. Kali Muriaticum : Zaiyd waram jis mein amoman mareez kin a umeedi ho, ibtedai darja mein waram ke liye Aconite, ferrum phosphorikum aur belladonna istemal karen aur intehai darja mein kali muriaticum aur lycopodium ko hargiz na bholen. Beharhaal aap biochemic medicines yani ferrum phosphorikum ibtedai darja mein aur kali muriaticum intehai darja mein istemal kar ke marz par qaboo paa sakte hain.
9. Lachesis : Zaiyd waram jis ko chit letne aur aazaa ko khinchne se zara sukoon mile, kamar aur perho ke maqam mein aag si jalan, shikam ke right side pharne wale dard, mareez tang kapra bardasht nahi karta.
Note : In this topic we gave you some medicated prescription for appendicitis, but please first take advice to your Doctor after that use any medicine.
No comments:
Write Comments