29 March 2016

Polio

Polio

Polio is a disease like paralyze. It is very dangerous and serious disease for lifetime, which can make people paralyze. Polio is a viral disease of nerve cell of the brain stem and spinal cord. It is a highly infection who attack the central nervous system. There are five kinds of Polio, Silent polio, Abortive polio, paralytic polio, and non-paralytic polio and Bulbo spinal polio. Polio is start from the mumps of throat. It has symptoms are Fever, Sore Throat, Headache, vomiting etc. Do not take easily of this disease. Please take polio drops every month for your children’s safety. Polio drops is a best cure for your children. In this page, you can see the Polio information In Urd (Polio Kya Hai) and Polio Disease In Hindi.


Polio kya Hai ?Polio Disease In Hindi

Polio darasal aesaab (nervous system) ko mutasir karne wali bemari hai. Jo poliovirus se phelti hai aur bachon mein aam hai aur is ka zor mausam e garma mein hota hai. Magar sard mausam mein bhi hamla aawar ho sakti hai. Is se dimagh aur haram maghaz mein sozish ho jati hai aur shadid noiyat ka hamla ho to na qabil e talafi nuqsan pohnchati hai.


Polio Ke Alamaat : Sir dard, matli, qey aur pait ke dard jise amoman log sarsari andaaz mein fori dastiyab dard kash adwiyaat ke zariye thek karne ki koshish karte hain.

Iqsaam : (Kinds of Polio) 1st qisam khamosh polio (Silent polios) ki hai. Yeh amoman bachon mein hota hai aur jin khandano mein pehle se yeh marz maujood ho use khamosh polio kaha jata hai aur is ka virus bache ki ghizaai naali mein maujood rehta hai. Lekin is ka nizam aesaab par hamla nahi karta lehaza aam alamaat nazar nahi aati.
2nd qisam Abortive polio hai. Is qisam mein virus ka hamla shadid nahi hota lehaza nizam e aesaab ki alamaat ke ilawa deegar jismani naqaiys peyda hona shuru ho jate hain. Yeh qisam aksariyat mein paai jati hai aur yeh 5 years ki umer ke bachon se le kar 50 years ke older mein bhi maujood hai. Is qisam mein hamla khuwateen mubtila ho sakti hain.
3rd qisam non paralytic polio hai. Is mein aesabi kamzori barh jati hai. Paralyze nahi hota kyun ke nizam e aesaab mustaqil nuqsan nahi jhelta, sirf sozish hoti hai. Jo bad mein thek bhi ho jati hai.
4th qisam paralytic polio mein hamla shaded hota hai aur paralyze bhi ho sakta hai.
5th qisam bulbo spinal polio maflooj kar dene wali hai. Is mein nizam e tanaffus ke azlaat maflooj ho jate hain. Lehaza patient ka saans lena mushkil ho jata hai aur nikalne ki salahiyat khatam ho jati hai.

Polio halaq ki sozish se shuru hota hai aur sath he be khuwabi, sir dard, fever, matli, qey waghera ki shikayaten hoti hain. Jismani azlaat mein khinchao aa jata hai. Khusosan neck aur peyt ke azlaat akarh jate hain. Natijatan jism ka nichla hissa maflooj ( kuch bachon mein aap ne aik leg aur kuch mein dono legs maflooj dekhii hongi ) ho jata hai.

Precautions : Awwaleen aehtiyati tadbeer yeh ki jani chahiye ke aise patients ko deegar afraad se chand weeks tak alehda rakhna chahiye. Is ka fuzla aur deegar fasid maddon ko aehtiyat se thikane lagana chahiye aur jaraseem kash adwiya mile pani se nehlana chahiye. Aise bachen mehnat talab kaam anhi kar sakte, is liye inhe araam karne diya jaey.
Aam logon ko polio ki wabaa ke dino mein khas aehtiyat ki zarorat hai. Wo in dino koi operation ( surgery ) khusosan tonsils operation na karwae aur gher zarori taur par injections na lagwae. Hum mein se bohat se afraad dard kashadwiyat ke istemal ke bajae injection lagwane ko tarjeeh dete hain. Kya hum nahi jante ke syringe new packing mein bhi ho to is ki taraf se mukammal itmenan nahi ho sakta. Kyun ke jaal sazon ke liye new packing mein purana syringe rakh dena kya mushkil hai ??? is tarha mukhtalif bemariyon ke virus aik fard se dosre fard mein muntaqil hone ke imkaan barh jate hain. Gynecologist expert ka khayal hai ke pregnancy ke ibtedai dino he mein polio ke qatrey pila dene se Maa aur Bache dono ke liye behter faisla hota hai.
1 year ki umer se pehle pehle hifazati injections ka course mukammal karwane se bhi bache polio aur deegar bemariyon se bach sakte hain. Yad rah eke agar tamam bachon ko safety injections ka course mukammal nahi karwaya jata to polio ki bemari tezi se pheyl kar hazaron bachon ko lapeyt mein le sakti hai aur yeh bachen sari umer ke liye mazoor ho sakte hain.
Sarkari satah par mulk bhar mein qaiym kiye gaey khusoos marakiz se 5 years ki umer tak ke tamam bachon ko polio ke safety drops diye jate hain. Lehaza tasahil aur takheer na karen. Ghar ghar aane wali teams se tawwun karen. Agar koi bacha mutadid bar polio drops pee len tab bhi koi harj nahi lekin agar aik bhi bacha peene se reh jae to polio ka afriyat, khatra saron par mandlata rehta hai.
Sarkari satah par polio ke qatrey ki mohim bar bar shuru ki jati hai. Is zaman mein kuch tabqat shkook o shubahat ka shikar nazar aate hain. Yeh baat qatai taur par mansoba bandi ki kisi sanjeeda koshish ke tehat khandan ki tauleedi sehat mutasir karne ke liye polio ke naam par drops farahum kar rahi hai. Ya yeh ke Government ko yeh vaccine ghareeb mumalik ko milne wali atiyati mohim ka hissa hai. Ya yeh muddat istemal guzar jane ke bad saste damon ya muft milne wali koi vaccine hai. Aisa hargiz nahi aur yeh wahmey apne nonehalon ke mustaqbil ko mashkook aur pachtawa bana ke rakh sakte hain. Behter hai ke agar chote bache ghar par maujood hon to vaccination team ke sath tawwun karen. Ghar ka koi khuwanda yani taleem yafta fard aage barh kar team ka Shanakhti hawala maloom kare. Medicines ki expiry muddat istemal se pehle check kar len aur phir apne itmenan ke bad drops pilwa diye jaey.
Aeham baat yehi hai ke hum susti, kaheli ya tassub ka muzahira na karen aur apne bachon ki sehat o tandurusti ke muaamlaat par koi samjhota na karen, ta ke hamari aaiynda aane wali generations tawana rahe.

No comments:
Write Comments

Contact Form

Name

Email *

Message *