31 March 2016

Vomiting (Qay)


Vomiting (Qay)


Vomiting is commonly caused by gastroenteritis. It is commonly known as bacteria daily virus that affect in everyday. Vomiting removes the energy and water level from the body. It causes that the sputum compile in stomach, then the digestive system has blocked and then we have vomits. The diseases of Abdomen, liver, intestines, kidneys, brain and some kinds if fever, they all disease are caused of vomiting. In this topic we talked about some medicine, but please first take advice to your doctor, after that use any medicine according to your prescription. In this page you can see the information and treatment  of  vomiting in Urdu (Qay Ka Ilaj , Ulti Ka Ilaj, Matli Ka Ilaj In Roman Hindi.

Qay (Vomiting) Information In Urdu, Hindi

Maida zaki ul has hone ki wajah se takleef aur azziyat ka forun ehsaas kar ke dafa karne ki koshish karta hai aur in quwwaton se kaam leta hai. Jo qudrat ne is ki sharafat ko madd e nazar rakhte hue inayat ki. Sard aur martoob ghizaon ka bakasrat istemal mein lana. Maida mein balgham ka jama ho kar fail e hazam ko kharab karna. Ziyada khane pine se maide mein ghiza ka fasid ho jana. Maide mein kharash ya sozish ka paida hona ya kisi zakham mein tashunj paida ho jana. Kabhi bad maza tulkh ya karhwi chez ka chakhna. Badbo ka soonghna. Maida ya liver, intestines, kidneys, dimagh ya haram maghaz ke baaz amraaz aur baaz qisam ke fevers mein yeh aarzaa ho jata hai. Agar maida qawi ho aur takleef bhi ziyada hoti ho to maida apne aap qay (vomiting) ke zariye is ghaleez maddey ko nikaal deta hai aur agar maida zaaef hone ki wajah se is mauzi chez ko dhakelne ki qudrat na rakhta ho aur tabiyat andar he andar malish kare to us ko qay ya matli (vomiting) kehte hain.

Vomiting Treatment In Homeopathy:

Qay Ka Ilaj


Medicines:
 
1. Ipecacuanha : Jab kisi dosri dawa ki alamaat na milen to ipecacuanha istemal karen. Is ki khas alamat na rukne wali matli jo vomiting ke bad bhi badastoor rehti hai. Zabaan safaid hoti hai.

2. Phosphorus : Sard chezon ke khane peene ki shadid khuwahish. Mareez sard pani peeta hai. Lekin jab maide mein garmi paida hoti hai, to qay ho jati hai.

 
3. Calcarea Carbonicum : Motey aur pilpile bachon ki medicine hai. Bacha jab doodh pita hai, to forum qay kar deta hai. Jo khatti bou wali hoti hai.

 
4. Silicea : Maa ke doodh se qay ya matli ho (vomiting) aur motions hon to is medicine ka istemal karen. Khanazeri mizaaj bachon ki medicine. Is ke bache duble patle hote hain.

 
5. Cocculus : Uthne par, garhi motor, ship aur aeroplane waghera mein safar karne par (vomiting), matli aur chakkar aate hain. Neend zaya hone ke bad asraat. Aam aesaabi kamzori paai jati hai.

 
6. Nux Vomica : Qabz. Karhwi vomiting khusosan subha ke waqt jin mein resha nikalta hai. Kamzori, khane pine mein ziyadti ki wajah se maide mein dard aur vomiting.

 
7. Belladonna : Sir ki taraf ijtema e khoon, sarsaami halaat mein safrawi vomiting, face red, aankhen red aur pao thande hote hain.

 
8. Aethusa : Bacha doodh pine ke forun bad ya kuch dair bad qay kar deta hai. (Vomiting) ke bad bacha nidhaal ho kar ghunodgi chala jata hai. Jaise soya hua hota hai. Kuch dair bad phir bacha uth kar doodh pita hai. Lekin phir vomit kar deta hai aur nidhaal ho jata hai. Agar doodh pine ke kuch dair bad vomit kare to doodh sakht phatkiyon ki shakal mein aur tursh bou daar hota hai.

 
Note : In this topic we talked about some medicine, but please first take advice to your doctor, after that use any medicine according to your prescription.

No comments:
Write Comments

Contact Form

Name

Email *

Message *