Garlic and Cholesterol
It is period of technology. Now every disease has better cure. Science introduced demanding machines and medicines for grand cure. Anyhow the importance of medically herbs are also using in this time. These medicines are very causative for the cure. Garlic included in herbs and vegetation things. Garlic is very useful and very healthy for our health. We can use garlic in different types of cuisines. It reduces the cholesterol ( LDL ) in blood. Garlic secures from the mosquitoes. We should take the one piece of garlic in dinner daily. It secures from flu and influenza. Garlic helps to remove bacteria’s of intestines. In this page you can see the information about Garlic and Cholesterol In Urdu.
Garlic and Cholesterol:
Lehsan Se Cholesterol Control Tips In Urdu
Yeh technology ka daur hai. Is mein har bemari ka ilaaj jaded tareen machines ya aesi medicines se hota hai, jin ke aksar zeli asraat bhi hote hain. Tahum herbs aur tibb e hind aur yunan ke nibatati medicines ki aehmiyat ka bhi ehsaas barh raha hai. Jo dosri medicines ki tarah maussir hain aur in ke zeli asraat nahi hote.
Herbs ya nibatati ashiya mein garlic bhi shamil hai. Jo intehai mufeed hai aur sehat par is ka acha asar parhta hai. Yeh dafey amraaz hai. Maloom hua hai ke is se khoon mein cholesterol ki satah kam hoti hai aur fishar e khoon mein kami aati hai. Is se motapa bhi kam hota hai. Garlic se mosquito door bhagte hain. Ke yeh aik maussir qudrati zidd e hewi hai.
Garlic khano mein mukhtaluif tariqon se istemal hota hai. Aksar log ise Khambi ( Mushroom ) aur murgh ke sath bohat pasand karte hain aur is ki roti bhi tayyar hoti hai.
Haliya tehqiqi jaizon se maloom hua hai ke agar daily garlic ka aik jawa kha liya jae to is se khoon mein bure cholesterol yani LDL ki satah kam ho jati hai. Jis ki wajah garlic ki maney takseed khusosiyat hai. Is ki yeh khusosiyat LDL ki takseed mein maney hoti hai. Is tarah wo cholesterol kam hone ka imkaan paida ho jata hai. Jo sharyano ko tang ya band kar deta hai. Haal he mein aik American research se yeh baat maloom hui hai ke garlic khane se hamare jism mein hydrogen sulphide ki qudrati farahmui bazahir barh jati hai. Ghaliban yehi wajah hai ke aesi ghiza se jis mein garlic ziyada hota hai. In se baaz qisam ke cancers se mehfooz rehne mein madad milti hai. In mein chest, uterus aur qaulon ka cancer shamil hain. Apni zidde hawi khusosiyat ki wajah se garlic intestines mein paae jane wale bacteria ka torh kar sakta hai aur zukaam aur influenza se mehfooz rakhta hai. Is ke ilawa damey ki soorat mein yeh seene ko taqat bakhshta hai.
Zamana qadeem mein yeh riwaj tha ke yunan mein Olympic muqablon ke mauqe par players ko garlic khilaya jata tha. Is ke ilawa yeh riwaj bhi tha ke aaseb se mehfooz rehne aur luteron aur choron ko door rakhne ke liye ghar mein garlic rakha jata tha. Aksar log dushman se hifazat ke liye shagun ke taur par ise ghar ke door mein latka diya karte the. Bachon ke pillow ke niche bhi garlic rakh diya jata tha, ta ke wo son eke dauran mehfooz rahen aur jab dulhan rukhsat hoti thi to us ke libas mein garlic ka aik jawa naik shagun aur nahusat se mehfooz rehne ke liye rakh dete the.
Garlic mosquitoes se bachata hai, kyun ke is se allicin nami aik taqatwar murakkab kharij hota hai, jo mosquitoes ko sakht na pasand hai. Garlic agar ziyada miqdar mein kha liya jae to yeh shaded qey aur bad hazmi nez skin allergy ka baiys ho sakta hai. Garlic se mutalliqa aik shaded negative pehlo wo semi madda botulism hai. Jo maide ko buri tarah mutassir karta hai aur baaz auqat maut ka sabab bhi ban sakta hai.
Is soorat e haal se bachne ke liye yeh aehtiyat kijiye ke roghan mein dale hue garlic ko room ke temperature mein ziyada dair na rakhen aur oil mein parhe hue garlic ko refrigerator mein bhi ziyada arsey na rakha jae.
No comments:
Write Comments